naam vo mera pukaare ja raha tha main kahaan tha
haadisa ye khoobsurat kab hua tha main kahaan tha
dhoondhta main phir raha tha jis ko saare shehar bhar mein
vo to mere roo-b-roo baitha hua tha main kahaan tha
meri baazi ko palatne ke liye taiyyaar the sab
saamne mere ye sab kuchh ho raha tha main kahaan tha
aaj wa'de se mukarta phir raha hai chhup raha hai
us ne sab ke saamne wa'da kiya tha main kahaan tha
gham bhulaane ke liye sab log baithe the wahan par
mere jaison ke liye hi mai-kada tha main kahaan tha
ab na shaayad mil saken ik doosre se yun kabhi ham
jaate jaate us ne mujh se ye kaha tha main kahaan tha
mera daaman kyun raha ejaz khaali rahmaton se
jholiyaan allah sab ki bhar raha tha main kahaan tha
नाम वो मेरा पुकारे जा रहा था मैं कहाँ था
हादिसा ये ख़ूबसूरत कब हुआ था मैं कहाँ था
ढूँढता मैं फिर रहा था जिस को सारे शहर भर में
वो तो मेरे रू-ब-रू बैठा हुआ था मैं कहाँ था
मेरी बाज़ी को पलटने के लिए तय्यार थे सब
सामने मेरे ये सब कुछ हो रहा था मैं कहाँ था
आज वा'दे से मुकरता फिर रहा है छुप रहा है
उस ने सब के सामने वा'दा किया था मैं कहाँ था
ग़म भुलाने के लिए सब लोग बैठे थे वहाँ पर
मेरे जैसों के लिए ही मै-कदा था मैं कहाँ था
अब न शायद मिल सकें इक दूसरे से यूँ कभी हम
जाते जाते उस ने मुझ से ये कहा था मैं कहाँ था
मेरा दामन क्यों रहा 'एजाज़' ख़ाली रहमतों से
झोलियाँ अल्लाह सब की भर रहा था मैं कहाँ था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ejaz Quraishi
our suggestion based on Ejaz Quraishi
As you were reading Gham Shayari Shayari