jidhar bhi dekhiye har soo hamein aghyaar milte hain
jahaan par ham qadam rakhen wahin par khaar milte hain
sunaau maajra-e-gham kise is gham ke aalam mein
ki is nagri ke baasi jaan se bezaar milte hain
hazaaron saath dete hain khushi ke waqt mein paiham
ki jab qismat bigadti hai kahaan phir yaar milte hain
khizaan ne kar diya paamaal ya-rab gulshan-e-hasti
ki har jaanib hamein ujde hue gulzaar milte hain
na ghabra ai dil-e-muztar ye dastoor-e-zamaana hai
mohabbat karne waalon ko faqat aazaar milte hain
naseem-e-subh gulshan mein naye gunche khilaati hai
sabhi ahl-e-mohabbat ahl-e-dil sarshaar milte hain
kabhi aisa bhi ejaz-e-mohabbat rang dikhaata hai
talab ki raah mein akshar hamein gham-khwaar milte hain
जिधर भी देखिए हर सू हमें अग़्यार मिलते हैं
जहाँ पर हम क़दम रक्खें वहीं पर ख़ार मिलते हैं
सुनाऊँ माजरा-ए-ग़म किसे इस ग़म के आलम में
कि इस नगरी के बासी जान से बेज़ार मिलते हैं
हज़ारों साथ देते हैं ख़ुशी के वक़्त में पैहम
कि जब क़िस्मत बिगड़ती है कहाँ फिर यार मिलते हैं
ख़िज़ाँ ने कर दिया पामाल या-रब गुलशन-ए-हस्ती
कि हर जानिब हमें उजड़े हुए गुलज़ार मिलते हैं
न घबरा ऐ दिल-ए-मुज़्तर ये दस्तूर-ए-ज़माना है
मोहब्बत करने वालों को फ़क़त आज़ार मिलते हैं
नसीम-ए-सुब्ह गुलशन में नए ग़ुंचे खिलाती है
सभी अहल-ए-मोहब्बत अहल-ए-दिल सरशार मिलते हैं
कभी ऐसा भी एजाज़-ए-मोहब्बत रंग दिखाता है
तलब की राह में अक्सर हमें ग़म-ख़्वार मिलते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ejaz Quraishi
our suggestion based on Ejaz Quraishi
As you were reading Valentine Shayari Shayari