taptee zameen pe paanv na dhar ab bhi laut ja | तपती ज़मीं पे पाँव न धर अब भी लौट जा - Ejaz Rahi

taptee zameen pe paanv na dhar ab bhi laut ja
kyun ho raha hai khaak-b-sar ab bhi laut ja

ab tak khule hue hain sadaqat ke raaste
band ho na jaayen waqt ke dar ab bhi laut ja

itra na tu navishta-e-deewaar padh bhi le
daar-o-rasan ki baat na kar ab bhi laut ja

aankhon ke baadbaan se veeraaniyaan bhi dekh
kis darja loot chuka hai ye ghar ab bhi laut ja

raahi abhi to shaam ki surkhi bujhi nahin
zid kar na lait-o-l'aal na kar ab bhi laut ja

तपती ज़मीं पे पाँव न धर अब भी लौट जा
क्यूँ हो रहा है ख़ाक-ब-सर अब भी लौट जा

अब तक खुले हुए हैं सदाक़त के रास्ते
बंद हो न जाएँ वक़्त के दर अब भी लौट जा

इतरा न तू नविश्ता-ए-दीवार पढ़ भी ले
दार-ओ-रसन की बात न कर अब भी लौट जा

आँखों के बादबान से वीरानियाँ भी देख
किस दर्जा लुट चुका है ये घर अब भी लौट जा

'राही' अभी तो शाम की सुर्ख़ी बुझी नहीं
ज़िद कर न लैत-ओ-ल'अल न कर अब भी लौट जा

- Ejaz Rahi
0 Likes

Dar Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Rahi

Similar Moods

As you were reading Dar Shayari Shayari