raah-e-talab mein ahl-e-dil jab had-e-aam se badhe | राह-ए-तलब में अहल-ए-दिल जब हद-ए-आम से बढ़े

  - Ejaz Warsi

raah-e-talab mein ahl-e-dil jab had-e-aam se badhe
kashmakash-e-hayaat ke aur bhi hausale badhe

kis se ye poochiye bhala tishna-labon ko kya mila
kehne ko yun to roz hi saikron may-kade badhe

koshish-e-paiham aafreen manzil ab aa gai qareeb
muzda ho aarzoo-e-dil paanv ke aable badhe

aate hi us ne bazm mein rukh pe naqaab daal li
haaye vo manzar-e-haseen jaise diye jale badhe

waqt ki aazmaishen laati hain zeest par nikhaar
phoolon ko dekh leejie kaanton mein jo pale-badhe

taabish-e-husn-e-yaar ne cheen li taab-e-arz-e-shauq
jitne qareeb aaye vo utne hi faasle badhe

raahon ke rukh badal gaye manzilen door ho gaeein
khizr ke e'tibaar par jab kabhi qafile badhe

राह-ए-तलब में अहल-ए-दिल जब हद-ए-आम से बढ़े
कश्मकश-ए-हयात के और भी हौसले बढ़े

किस से ये पूछिए भला तिश्ना-लबों को क्या मिला
कहने को यूँ तो रोज़ ही सैकड़ों मय-कदे बढ़े

कोशिश-ए-पैहम आफ़रीं मंज़िल अब आ गई क़रीब
मुज़्दा हो आरज़ू-ए-दिल पाँव के आबले बढ़े

आते ही उस ने बज़्म में रुख़ पे नक़ाब डाल ली
हाए वो मंज़र-ए-हसीं जैसे दिए जले बढ़े

वक़्त की आज़माइशें लाती हैं ज़ीस्त पर निखार
फूलों को देख लीजिए काँटों में जो पले-बढ़े

ताबिश-ए-हुस्न-ए-यार ने छीन ली ताब-ए-अर्ज़-ए-शौक़
जितने क़रीब आए वो उतने ही फ़ासले बढ़े

राहों के रुख़ बदल गए मंज़िलें दूर हो गईं
ख़िज़्र के ए'तिबार पर जब कभी क़ाफ़िले बढ़े

  - Ejaz Warsi

Justaju Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ejaz Warsi

As you were reading Shayari by Ejaz Warsi

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Warsi

Similar Moods

As you were reading Justaju Shayari Shayari