madaava-e-junoon sair-e-gulistaan se nahin hota
rafu-e-chaak-e-dil taar-e-garebaan se nahin hota
b-juz manzil kahi raahat nahin milti musaafir ko
ilaj-e-aabla-paai biyaabaan se nahin hota
hijab-e-dost ne baksha hai vo lutf-e-yaqeen dil ko
ki ye aasooda ab husn-e-numaayaan se nahin hota
jila hoti hai zarf-e-zeest par tanqeed-e-daana se
mudaava nafs ka chashm-e-sana-khwaan se nahin hota
ba-qadr-e-zarf fitrat karti hai baalidagi dil ki
ye vo kaar-e-aham hai jo dabistaan se nahin hota
kiya hai roo-shanaas-e-afw main ne teri rahmat ko
liya vo kaam isyaan se jo eemaan se nahin hota
jigar ke daagh hi marqad mein kaam ejaz aayenge
ujaala aisi zulmat mein charaaghaan se nahin hota
मदावा-ए-जुनूँ सैर-ए-गुलिस्ताँ से नहीं होता
रफ़ू-ए-चाक-ए-दिल तार-ए-गरेबाँ से नहीं होता
ब-जुज़ मंज़िल कहीं राहत नहीं मिलती मुसाफ़िर को
इलाज-ए-आबला-पाई बयाबाँ से नहीं होता
हिजाब-ए-दोस्त ने बख़्शा है वो लुत्फ़-ए-यक़ीं दिल को
कि ये आसूदा अब हुस्न-ए-नुमायाँ से नहीं होता
जिला होती है ज़र्फ़-ए-ज़ीस्त पर तन्क़ीद-ए-दाना से
मुदावा नफ़्स का चश्म-ए-सना-ख़्वाँ से नहीं होता
ब-क़द्र-ए-ज़र्फ़ फ़ितरत करती है बालीदगी दिल की
ये वो कार-ए-अहम है जो दबिस्ताँ से नहीं होता
किया है रू-शनास-ए-अफ़्व मैं ने तेरी रहमत को
लिया वो काम इस्याँ से जो ईमाँ से नहीं होता
जिगर के दाग़ ही मरक़द में काम 'एजाज़' आएँगे
उजाला ऐसी ज़ुल्मत में चराग़ाँ से नहीं होता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ejaz Warsi
our suggestion based on Ejaz Warsi
As you were reading Musafir Shayari Shayari