kahaan sabat-e-gham-e-dil kahaan saraab-e-sukoon | कहाँ सबात-ए-ग़म-ए-दिल कहाँ सराब-ए-सुकूँ

  - Ejaz Warsi

kahaan sabat-e-gham-e-dil kahaan saraab-e-sukoon
vo khush-naseeb hai mil jaaye jis ko soz-e-daroon

khud aap dekh len kya haal dil zabaan se kahoon
abhi to hain meri aankhon mein chand qatra-e-khoon

ye shehr-e-ham-nafasaan kitni baar ujda hai
kabhi na ho saka lekin sar-e-hayaat nigoon

abhi to maslahat-e-waqt hi pe naazaan hai
abhi khird ko mayassar kahaan maqaam-e-junoon

nigaah neechi kiye mufail se baithe hain
ab un se shikwa-e-bedaad kis zabaan se karoon

nikhaar aa hi gaya khushk khushk chehron par
mila to giryaa-e-shabnam se kuchh gulon ko sukoon

dar-asl hai meri hasti ki kaayenaat ejaz
vo ik nigaah jise zindagi ka raaz kahoon

कहाँ सबात-ए-ग़म-ए-दिल कहाँ सराब-ए-सुकूँ
वो ख़ुश-नसीब है मिल जाए जिस को सोज़-ए-दरूँ

ख़ुद आप देख लें क्या हाल दिल ज़बाँ से कहूँ
अभी तो हैं मिरी आँखों में चंद क़तरा-ए-ख़ूँ

ये शहर-ए-हम-नफ़साँ कितनी बार उजड़ा है
कभी न हो सका लेकिन सर-ए-हयात निगूँ

अभी तो मस्लहत-ए-वक़्त ही पे नाज़ाँ है
अभी ख़िरद को मयस्सर कहाँ मक़ाम-ए-जुनूँ

निगाह नीची किए मुन्फ़इल से बैठे हैं
अब उन से शिकवा-ए-बेदाद किस ज़बाँ से करूँ

निखार आ ही गया ख़ुश्क ख़ुश्क चेहरों पर
मिला तो गिर्या-ए-शबनम से कुछ गुलों को सुकूँ

दर-अस्ल है मिरी हस्ती की काएनात 'एजाज़'
वो इक निगाह जिसे ज़िंदगी का राज़ कहूँ

  - Ejaz Warsi

Nazar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ejaz Warsi

As you were reading Shayari by Ejaz Warsi

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Warsi

Similar Moods

As you were reading Nazar Shayari Shayari