kaar-e-khair itna to ai laghizish-e-paa ho jaata | कार-ए-ख़ैर इतना तो ऐ लग़्ज़िश-ए-पा हो जाता

  - Ejaz Warsi

kaar-e-khair itna to ai laghizish-e-paa ho jaata
paaye saaqi pe hi ik sajda ada ho jaata

vo to ye kahiye ki majboor hai nazm-e-hasti
warna har banda-e-maghroor khuda ho jaata

qafile waale the mahroom-e-baseerat warna
mera har naqsh-e-qadam raah-numa ho jaata

gham ke maaron pe bhi ai daar-e-hashr ek nazar
aaj to faisla-e-ahl-e-wafa ho jaata

yun andheron mein bhatkte na kabhi ahl-e-khirad
koi deewaana agar raah-numa ho jaata

dil tiri neem-nigaahi ka to mamnoon sahi
dard abhi kam hai zara aur siva ho jaata

lazzat-e-gham se hai zid fitrat-e-gham ko shaayad
dard hi dard na kyun dard dava ho jaata

sun ke bhar aata agar un ka bhi dil ai ejaz
qissa-e-dard ka unwaan naya ho jaata

कार-ए-ख़ैर इतना तो ऐ लग़्ज़िश-ए-पा हो जाता
पाए साक़ी पे ही इक सज्दा अदा हो जाता

वो तो ये कहिए कि मजबूर है नज़्म-ए-हस्ती
वर्ना हर बंदा-ए-मग़रूर ख़ुदा हो जाता

क़ाफ़िले वाले थे महरूम-ए-बसीरत वर्ना
मेरा हर नक़्श-ए-क़दम राह-नुमा हो जाता

ग़म के मारों पे भी ऐ दावर-ए-हश्र एक नज़र
आज तो फ़ैसला-ए-अहल-ए-वफ़ा हो जाता

यूँ अंधेरों में भटकते न कभी अहल-ए-ख़िरद
कोई दीवाना अगर राह-नुमा हो जाता

दिल तिरी नीम-निगाही का तो मम्नून सही
दर्द अभी कम है ज़रा और सिवा हो जाता

लज़्ज़त-ए-ग़म से है ज़िद फ़ितरत-ए-ग़म को शायद
दर्द ही दर्द न क्यूँ दर्द दवा हो जाता

सुन के भर आता अगर उन का भी दिल ऐ 'एजाज़'
क़िस्सा-ए-दर्द का उन्वान नया हो जाता

  - Ejaz Warsi

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ejaz Warsi

As you were reading Shayari by Ejaz Warsi

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Warsi

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari