khoon-e-naahq thi faqat duniya-e-aab-o-gil ki baat | ख़ून-ए-नाहक़ थी फ़क़त दुनिया-ए-आब-ओ-गिल की बात

  - Ejaz Warsi

khoon-e-naahq thi faqat duniya-e-aab-o-gil ki baat
ye hai mahshar kyun yahan ho daaman-e-qaatil ki baat

aaj kyun ashkon mein hai aks-e-tabassum jalva-gar
aa gai kya apni had par gham ke mustaqbil ki baat

har nazar rangeeni-e-rukh tak pahunch kar rah gai
phool ab kis se kahein gulshan mein zakhm-e-dil ki baat

dekhte hi rah gaye qaanoon-e-qudrat ahl-e-zabt
le udri khaakistar-e-parwaana jab mehfil ki baat

nakhuda ham aur toofaan se karein fikr-e-faraar
ham kabhi karte nahin saahil pe bhi saahil ki baat

ho na jaaye phir shu'ur-e-kaarwaan nazr-e-fareb
chhed di hai raahbar ne aaj phir manzil ki baat

koi apna hai na koi hamdam-o-dard-aashnaa
ai khuda kis se kahe ejaz apne dil ki baat

ख़ून-ए-नाहक़ थी फ़क़त दुनिया-ए-आब-ओ-गिल की बात
ये है महशर क्यूँ यहाँ हो दामन-ए-क़ातिल की बात

आज क्यूँ अश्कों में है अक्स-ए-तबस्सुम जल्वा-गर
आ गई क्या अपनी हद पर ग़म के मुस्तक़बिल की बात

हर नज़र रंगीनी-ए-रुख़ तक पहुँच कर रह गई
फूल अब किस से कहें गुलशन में ज़ख़्म-ए-दिल की बात

देखते ही रह गए क़ानून-ए-क़ुदरत अहल-ए-ज़ब्त
ले उड़ी ख़ाकिस्तर-ए-परवाना जब महफ़िल की बात

नाख़ुदा हम और तूफ़ाँ से करें फ़िक्र-ए-फ़रार
हम कभी करते नहीं साहिल पे भी साहिल की बात

हो न जाए फिर शुऊ'र-ए-कारवाँ नज़्र-ए-फ़रेब
छेड़ दी है राहबर ने आज फिर मंज़िल की बात

कोई अपना है न कोई हमदम-ओ-दर्द-आश्ना
ऐ ख़ुदा किस से कहे 'एजाज़' अपने दिल की बात

  - Ejaz Warsi

Basant Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ejaz Warsi

As you were reading Shayari by Ejaz Warsi

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Warsi

Similar Moods

As you were reading Basant Shayari Shayari