kisi ke shikwa-ha-e-jaur se waqif zabaan kyun ho
gham-e-dil aag to lag hi chuki lekin dhuaan kyun ho
mohabbat mein visaal-o-hijr ki tamaiz kya maani
bisaat-e-ishq par baazeecha-e-sood-o-ziyaan kyun ho
jabeen sail thi naadim hai magar ai sajda-e-aakhir
meri mahroomiyon se be-taalluq aastaan kyun ho
khudaavanda chaman mein to nasheeman hi nasheeman hain
nazar mein barq ki sirf ek shaakh-e-aashiyaan kyun ho
rivaayat-e-kuhan ko azm-e-nau khaatir mein kya laaye
zameer-e-kaarwaan paaband-e-meer-e-kaarwaan kyun ho
ye maana ek aansu hai magar ai saii-e-zabt-e-gham
sar-e-mizgaan ye ik aansu bhi dil ka tarjumaan kyun ho
zamaana jab bhula hi baitha ejaz'-e-hazeen tujh ko
koi ab meherbaan kyun ho koi na-mehrabaan kyun ho
किसी के शिकवा-हा-ए-जौर से वाक़िफ़ ज़बाँ क्यूँ हो
ग़म-ए-दिल आग तो लग ही चुकी लेकिन धुआँ क्यूँ हो
मोहब्बत में विसाल-ओ-हिज्र की तमईज़ क्या मा'नी
बिसात-ए-इश्क़ पर बाज़ीचा-ए-सूद-ओ-ज़ियाँ क्यूँ हो
जबीं साइल थी नादिम है मगर ऐ सज्दा-ए-आख़िर
मिरी महरूमियों से बे-तअल्लुक़ आस्ताँ क्यूँ हो
ख़ुदावंदा चमन में तो नशेमन ही नशेमन हैं
नज़र में बर्क़ की सिर्फ़ एक शाख़-ए-आशियाँ क्यूँ हो
रिवायात-ए-कुहन को अज़्म-ए-नौ ख़ातिर में क्या लाए
ज़मीर-ए-कारवाँ पाबंद-ए-मीर-ए-कारवाँ क्यूँ हो
ये माना एक आँसू है मगर ऐ सई-ए-ज़ब्त-ए-ग़म
सर-ए-मिज़्गाँ ये इक आँसू भी दिल का तर्जुमाँ क्यूँ हो
ज़माना जब भुला ही बैठा 'एजाज़'-ए-हज़ीं तुझ को
कोई अब मेहरबाँ क्यूँ हो कोई ना-मेहरबाँ क्यूँ हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ejaz Warsi
our suggestion based on Ejaz Warsi
As you were reading Urdu Shayari Shayari