ik aftaab ka rang ek mahtaab ka rang | इक आफ़्ताब का रंग एक माहताब का रंग

  - Ejazulhaq Shahab

ik aftaab ka rang ek mahtaab ka rang
mila ke dhaala gaya hai tire shabaab ka rang

numayaan jism hai aur shokh hai naqaab ka rang
badal raha hai zamaane mein ab hijaab ka rang

mili nazar jo meri dafa'atan sar-e-mahfil
haya se rukh pe tere aa gaya gulaab ka rang

nikal pade hain jo jugnoo liye hue qindeel
utar gaya hai tabhi se is aftaab ka rang

suna hai takht larzate hain taaj hilte hain
jo ham ghazal mein milaate hain inqilaab ka rang

saleeqa zeest ko jeene ka ham ne seekha hai
saroon pe jab se chadha hai teri kitaab ka rang

vo pehle pehle se tevar hawa hue dekho
uda uda sa hai kuchh din se ab janab ka rang

kisi ke sar pe chadha rang meer'-o-'ghalib ka
kisi ke sar pe chadhega kabhi shahaab ka rang

इक आफ़्ताब का रंग एक माहताब का रंग
मिला के ढाला गया है तिरे शबाब का रंग

नुमायाँ जिस्म है और शोख़ है नक़ाब का रंग
बदल रहा है ज़माने में अब हिजाब का रंग

मिली नज़र जो मिरी दफ़अ'तन सर-ए-महफ़िल
हया से रुख़ पे तेरे आ गया गुलाब का रंग

निकल पड़े हैं जो जुगनू लिए हुए क़िंदील
उतर गया है तभी से इस आफ़्ताब का रंग

सुना है तख़्त लरज़ते हैं ताज हिलते हैं
जो हम ग़ज़ल में मिलाते हैं इंक़लाब का रंग

सलीक़ा ज़ीस्त को जीने का हम ने सीखा है
सरों पे जब से चढ़ा है तेरी किताब का रंग

वो पहले पहले से तेवर हवा हुए देखो
उड़ा उड़ा सा है कुछ दिन से अब जनाब का रंग

किसी के सर पे चढ़ा रंग 'मीर'-ओ-'ग़ालिब' का
किसी के सर पे चढ़ेगा कभी 'शहाब' का रंग

  - Ejazulhaq Shahab

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ejazulhaq Shahab

As you were reading Shayari by Ejazulhaq Shahab

Similar Writers

our suggestion based on Ejazulhaq Shahab

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari