pehle banti hi na thi baat so ab banti hai
aaj-kal un ke tasavvur se gazab banti hai
chaliye chal kar kahi dhunde koi ujadi hui raat
apni in chaand sitaaron se to kab banti hai
nafs jab rooh pe haavi ho to phir vehshat mein
tishnagi dekhiye qurbat ka sabab banti hai
surmai shaam mein suraj ka lahu mil jaaye
tab kahi ja ke meri jaan ye shab banti hai
phir sambhaale na sambhalti hai agar bigde to
aur bigaade na bigadti hai ki jab banti hai
pehle pehle to kisi khel si lagti hai magar
sar pe chadh jaaye mohabbat to talab banti hai
aashiqi had se guzarti hai tabhi ja ke shahaab
qais-o-farhad ka raanjhe ka laqab banti hai
पहले बनती ही न थी बात सो अब बनती है
आज-कल उन के तसव्वुर से ग़ज़ब बनती है
चलिए चल कर कहीं ढूँडे कोई उजड़ी हुई रात
अपनी इन चाँद सितारों से तो कब बनती है
नफ़्स जब रूह पे हावी हो तो फिर वहशत में
तिश्नगी देखिए क़ुर्बत का सबब बनती है
सुरमई शाम में सूरज का लहू मिल जाए
तब कहीं जा के मिरी जान ये शब बनती है
फिर सँभाले न सँभलती है अगर बिगड़े तो
और बिगाड़े न बिगड़ती है कि जब बनती है
पहले पहले तो किसी खेल सी लगती है मगर
सर पे चढ़ जाए मोहब्बत तो तलब बनती है
आशिक़ी हद से गुज़रती है तभी जा के 'शहाब'
क़ैस-ओ-फ़रहाद का राँझे का लक़ब बनती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ejazulhaq Shahab
our suggestion based on Ejazulhaq Shahab
As you were reading Raat Shayari Shayari