aaj sun li hai mere ahbaab ne meri ghazal | आज सुन ली है मिरे अहबाब ने मेरी ग़ज़ल

  - Ejazulhaq Shahab

aaj sun li hai mere ahbaab ne meri ghazal
aaj apni manzil-e-maqsood par pahunchee ghazal

jab sunaai aap ne to ba-adab sun li ghazal
aur jab koshaan hua to be-dhadak kah di ghazal

ye lab-o-rukhsaar ye chehra tera pur-noor sa
tujh ko kya dekha laga jaise koi dekhi ghazal

kal jo dekhi thi ghazal to dil ki dhadkan ruk gai
aaj jo dekhi ghazal to ban ke dil dhadki ghazal

zulf oolaa chashm saani qaafiya rukh lab radif
rab ne tum ko hai tarasha ya koi likkhi ghazal

qaafiya rootha hua tha munh chidhaati thi radif
tum kya roothe raat bhar thi raat bhar roothi ghazal

tahat mein jab bhi padhi to ban ke nikli inqilaab
jab tarannum mein padhi to jhoom uthi meri ghazal

hain ye asnaaf-e-adab jaan-e-sukhan-daan shaayri
nazm meri saans hai aur zindagi meri ghazal

kah uthe hain sab sukhanvar ahl-e-mehfil ye shahaab
jo tere lab se hui aakhir wahi thehri ghazal

आज सुन ली है मिरे अहबाब ने मेरी ग़ज़ल
आज अपनी मंज़िल-ए-मक़्सूद पर पहुँची ग़ज़ल

जब सुनाई आप ने तो बा-अदब सुन ली ग़ज़ल
और जब कोशाँ हुआ तो बे-धड़क कह दी ग़ज़ल

ये लब-ओ-रुख़्सार ये चेहरा तेरा पुर-नूर सा
तुझ को क्या देखा लगा जैसे कोई देखी ग़ज़ल

कल जो देखी थी ग़ज़ल तो दिल की धड़कन रुक गई
आज जो देखी ग़ज़ल तो बन के दिल धड़की ग़ज़ल

ज़ुल्फ़ ऊला चश्म सानी क़ाफ़िया रुख़ लब रदीफ़
रब ने तुम को है तराशा या कोई लिक्खी ग़ज़ल

क़ाफ़िया रूठा हुआ था मुँह चिढ़ाती थी रदीफ़
तुम क्या रूठे रात भर थी रात भर रूठी ग़ज़ल

तहत में जब भी पढ़ी तो बन के निकली इंक़लाब
जब तरन्नुम में पढ़ी तो झूम उठी मेरी ग़ज़ल

हैं ये अस्नाफ़-ए-अदब जान-ए-सुख़न-दाँ शाइरी
नज़्म मेरी साँस है और ज़िंदगी मेरी ग़ज़ल

कह उठे हैं सब सुख़नवर अहल-ए-महफ़िल ये 'शहाब'
जो तेरे लब से हुई आख़िर वही ठहरी ग़ज़ल

  - Ejazulhaq Shahab

Romance Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ejazulhaq Shahab

As you were reading Shayari by Ejazulhaq Shahab

Similar Writers

our suggestion based on Ejazulhaq Shahab

Similar Moods

As you were reading Romance Shayari Shayari