khauf sa phir labon pe taari hai | ख़ौफ़ सा फिर लबों पे तारी है

  - Ejazulhaq Shahab

khauf sa phir labon pe taari hai
ik ajab kaifiyat hamaari hai

aao badlen nizaam-e-gulshan ham
kuchh hamaari bhi zimmedaari hai

raushni haq ke ek jugnoo ki
saikdon zulmato_n pe bhari hai

aap ka to koi jawaab nahin
aaiye ab hamaari baari hai

jashn-e-tadfeen-e-aarzoo-e-visaal
aur saanson ka raqs jaari hai

vasl ka ek qeemti lamha
hijr ki muddaton pe bhari hai

vahshat-e-ishq mein suno ham ne
din sameta hai shab utaari hai

qahqahon ka nagar tumhein saunpa
dard par saltanat hamaari hai

ghalatiyaan aap se nahin hoti
kya farishton se rishta-daari hai

aap suniye shahaab ko bhi kabhi
goya ilhaam-e-rabt jaari hai

ख़ौफ़ सा फिर लबों पे तारी है
इक अजब कैफ़ियत हमारी है

आओ बदलें निज़ाम-ए-गुलशन हम
कुछ हमारी भी ज़िम्मेदारी है

रौशनी हक़ के एक जुगनू की
सैंकड़ों ज़ुल्मतों पे भारी है

आप का तो कोई जवाब नहीं
आइए अब हमारी बारी है

जश्न-ए-तदफ़ीन-ए-आरज़ू-ए-विसाल
और साँसों का रक़्स जारी है

वस्ल का एक क़ीमती लम्हा
हिज्र की मुद्दतों पे भारी है

वहशत-ए-इश्क़ में सुनो हम ने
दिन समेटा है शब उतारी है

क़हक़हों का नगर तुम्हें सौंपा
दर्द पर सल्तनत हमारी है

ग़लतियाँ आप से नहीं होतीं
क्या फ़रिश्तों से रिश्ता-दारी है

आप सुनिए 'शहाब' को भी कभी
गोया इल्हाम-ए-रब्त जारी है

  - Ejazulhaq Shahab

Breakup Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ejazulhaq Shahab

As you were reading Shayari by Ejazulhaq Shahab

Similar Writers

our suggestion based on Ejazulhaq Shahab

Similar Moods

As you were reading Breakup Shayari Shayari