naye maseeha banenge naye laqab honge
hamaare mulk mein phir intikhaab ab honge
suna hai phir se naye khwaab beche jaayenge
suna hai phir se naye jumle zer-e-lab honge
jo paanch saal kabhi yaad tak nahin aaye
wahi gareeb vo laachaar phir talab honge
lo phir se mandir-o-masjid ka jin nikal aaya
lo phir se rehnuma ab khun ke tishna-lab honge
chaman mein bo to rahe ho tum intishaar ke beej
is intishaar ka lekin shikaar sab honge
hamaare mulk ka aaeen ham se kehta hai
ab inqilaab faqat vote ke sabab honge
shahaab apne hi jin se na faizyaab hue
tumhaare aur mere gham-gusaar kab honge
नए मसीहा बनेंगे नए लक़ब होंगे
हमारे मुल्क में फिर इंतिख़ाब अब होंगे
सुना है फिर से नए ख़्वाब बेचे जाएँगे
सुना है फिर से नए जुमले ज़ेर-ए-लब होंगे
जो पाँच साल कभी याद तक नहीं आए
वही ग़रीब वो लाचार फिर तलब होंगे
लो फिर से मंदिर-ओ-मस्जिद का जिन निकल आया
लो फिर से रहनुमा अब ख़ूँ के तिश्ना-लब होंगे
चमन में बो तो रहे हो तुम इंतिशार के बीज
इस इंतिशार का लेकिन शिकार सब होंगे
हमारे मुल्क का आईन हम से कहता है
अब इंक़िलाब फ़क़त वोट के सबब होंगे
'शहाब' अपने ही जिन से न फ़ैज़याब हुए
तुम्हारे और मिरे ग़म-गुसार कब होंगे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ejazulhaq Shahab
our suggestion based on Ejazulhaq Shahab
As you were reading Gulshan Shayari Shayari