ek ik pal mein suno saikdon gham kaatte hain
zindagi kattee kahaan hai use ham kaatte hain
mil ke rahte hain watan mein sabhi ham-saaye magar
is mohabbat ko siyaasat ke udham kaatte hain
gulshan-e-dehr ke har gul se mahakta gulshan
mil ke ham aaiye nafrat ke alam kaatte hain
aalam-e-hijr mein hain vasl ki yaadon ke charaagh
inheen yaadon se tire hijr ka gham kaatte hain
ham ne jo ki thi wafa vo hi wafa jurm hui
dekhiye is ki saza kitne janam kaatte hain
paak rakha hai takhayyul ko ibadat ki tarah
itni jiddat se tabhi she'r ka zam kaatte hain
umr guzri hai shahaab apni jafaon ke tai
dil ko rah rah ke jafaon ke sitam kaatte hain
एक इक पल में सुनो सैंकड़ों ग़म काटते हैं
ज़िंदगी कटती कहाँ है उसे हम काटते हैं
मिल के रहते हैं वतन में सभी हम-साए मगर
इस मोहब्बत को सियासत के उधम काटते हैं
गुलशन-ए-दहर के हर गुल से महकता गुलशन
मिल के हम आइए नफ़रत के अलम काटते हैं
आलम-ए-हिज्र में हैं वस्ल की यादों के चराग़
इन्हीं यादों से तिरे हिज्र का ग़म काटते हैं
हम ने जो की थी वफ़ा वो ही वफ़ा जुर्म हुई
देखिए इस की सज़ा कितने जनम काटते हैं
पाक रक्खा है तख़य्युल को इबादत की तरह
इतनी जिद्दत से तभी शे'र का ज़म काटते हैं
उम्र गुज़री है 'शहाब' अपनी जफ़ाओं के तईं
दिल को रह रह के जफ़ाओं के सितम काटते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ejazulhaq Shahab
our suggestion based on Ejazulhaq Shahab
As you were reading One sided love Shayari Shayari