jism khaamosh si tasveer hua jaata hai
ab tira hijr le ta'aamir hua jaata hai
rabt jab ek ki taqdeer se ho jaaye to phir
kya kisi aur ki taqdeer hua jaata hai
rukh ukere hue maazi ki kahaani ke nuqoosh
ab gham-e-hijr ki tashheer hua jaata hai
aks ubhre shab-e-furqat mein jo deewaron par
waqt mere liye shamsheer hua jaata hai
tu bhi ab dekh le is sabr ke daaman ko samet
zabt mera bhi ab aakheer hua jaata hai
us ne jaane ka kaha main ne bhi roka hi nahin
kya kabhi paanv ki zanjeer hua jaata hai
haaye ghazlein tiri dil cheer ke rakh denge shahaab
chand arse mein kahaan meer hua jaata hai
जिस्म ख़ामोश सी तस्वीर हुआ जाता है
अब तिरा हिज्र ले ता'मीर हुआ जाता है
रब्त जब एक की तक़दीर से हो जाए तो फिर
क्या किसी और की तक़दीर हुआ जाता है
रुख़ उकेरे हुए माज़ी की कहानी के नुक़ूश
अब ग़म-ए-हिज्र की तश्हीर हुआ जाता है
अक्स उभरे शब-ए-फ़ुर्क़त में जो दीवारों पर
वक़्त मेरे लिए शमशीर हुआ जाता है
तू भी अब देख ले इस सब्र के दामन को समेट
ज़ब्त मेरा भी अब आख़ीर हुआ जाता है
उस ने जाने का कहा मैं ने भी रोका ही नहीं
क्या कभी पाँव की ज़ंजीर हुआ जाता है
हाए ग़ज़लें तिरी दिल चीर के रख देंगी 'शहाब'
चंद अर्से में कहाँ 'मीर' हुआ जाता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ejazulhaq Shahab
our suggestion based on Ejazulhaq Shahab
As you were reading Kismat Shayari Shayari