chahe jis taur bayaan kijie afsaana-e-dard
jism ko khauf bahut jaan ko andeshe the
chahe jis taur raqam kijeye giraan-jaani-e-dil
khun mein hangaama bahut raah mein veeraane the
laakh chaaha dil-e-muztar ki kashaaksh se siva
raqs-e-be-parwa-o-bebaak ka aaghaaz karoon
khoon-e-dil ashk karoon ashk guhar-taab karoon
pas-e-deewaar-e-qafas seena-e-dil chaak karoon
laakh chaaha dil-e-shoreeda pe mashken thi bahut
lab-e-mushtaqq pe booton ki zabaan rakhi thi
jaan ghabraati thi andoh se tan mein kya kya
jaan ghabraati hai andoh se tan mein kya kya
चाहे जिस तौर बयाँ कीजिए अफ़साना-ए-दर्द
जिस्म को ख़ौफ़ बहुत जान को अंदेशे थे
चाहे जिस तौर रक़म कीजे गिराँ-जानी-ए-दिल
ख़ूँ में हंगामा बहुत राह में वीराने थे
लाख चाहा दिल-ए-मुज़्तर की कशाकश से सिवा
रक़्स-ए-बे-परवा-ओ-बेबाक का आग़ाज़ करूँ
ख़ून-ए-दिल अश्क करूँ अश्क गुहर-ताब करूँ
पस-ए-दीवार-ए-क़फ़स सीना-ए-दिल चाक करूँ
लाख चाहा दिल-ए-शोरीदा पे मश्कें थी बहुत
लब-ए-मुश्ताक़ पे बूटों की ज़बाँ रक्खी थी
जान घबराती थी अंदोह से तन में क्या क्या
जान घबराती है अंदोह से तन में क्या क्या
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Ekram Khawar
As you were reading Urdu Shayari Shayari