buto kuchh had bhi hai jour-o-jafa ki | बुतो कुछ हद भी है जौर-ओ-जफ़ा की

  - Faheem Gorakhpuri

buto kuchh had bhi hai jour-o-jafa ki
hai aakhir intiha har ibtida ki

jagah kya ho in aankhon mein haya ki
bhari ho jin mein shokhi intiha ki

shab-e-gham aane mein karti hai ghamze
ada bhaati nahin mujh ko qaza ki

mera dil le ke ab mujh par ye zulm aah
daga ki tu ne o zalim daga ki

maza hai may-kashi ka abr mein aaj
falak parchhaai hai rahmat khuda ki

buton ki meherbaani kya karam kya
inaayat chahiye mujh par khuda ki

tujhe o bewafa chaaha hui chook
tujhe dil ne diya main ne khata ki

ye kyun udta hai chehre ka mere rang
hui kis shokh ko haajat hina ki

vo lenge jaan bhi waan le ke ik din
khabar thi ibtida mein intiha ki

chala dil koocha-e-gesoo ko jis dam
dua ki padh ke dam radd-e-bala ki

gaye the vo jahaan ham dhoondh lete
madad milti jo un ke naqsh-e-paa ki

dil-e-muztar ki kuchh haalat na poocho
tadap bijli mein hai aaj intiha ki

jab aate hain chadha jaate hain do phool
vo turbat par faheem-e-mubtala ki

बुतो कुछ हद भी है जौर-ओ-जफ़ा की
है आख़िर इंतिहा हर इब्तिदा की

जगह क्या हो इन आँखों में हया की
भरी हो जिन में शोख़ी इंतिहा की

शब-ए-ग़म आने में करती है ग़म्ज़े
अदा भाती नहीं मुझ को क़ज़ा की

मिरा दिल ले के अब मुझ पर ये ज़ुल्म आह
दग़ा की तू ने ओ ज़ालिम दग़ा की

मज़ा है मय-कशी का अब्र में आज
फ़लक परछाई है रहमत ख़ुदा की

बुतों की मेहरबानी क्या करम क्या
इनायत चाहिए मुझ पर ख़ुदा की

तुझे ओ बेवफ़ा चाहा हुई चूक
तुझे दिल ने दिया मैं ने ख़ता की

ये क्यों उड़ता है चेहरे का मिरे रंग
हुई किस शोख़ को हाजत हिना की

वो लेंगे जान भी वाँ ले के इक दिन
ख़बर थी इब्तिदा में इंतिहा की

चला दिल कूचा-ए-गेसू को जिस दम
दुआ की पढ़ के दम रद्द-ए-बला की

गए थे वो जहाँ हम ढूँढ लेते
मदद मिलती जो उन के नक़्श-ए-पा की

दिल-ए-मुज़्तर की कुछ हालत न पूछो
तड़प बिजली में है आज इंतिहा की

जब आते हैं चढ़ा जाते हैं दो फूल
वो तुर्बत पर 'फहीम'-ए-मुब्तला की

  - Faheem Gorakhpuri

Aasman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faheem Gorakhpuri

As you were reading Shayari by Faheem Gorakhpuri

Similar Writers

our suggestion based on Faheem Gorakhpuri

Similar Moods

As you were reading Aasman Shayari Shayari