haan jhooth hai vo jaan se tum par fida nahin
sach kah rahe ho gair ka ye hausla nahin
yaad-e-butaan nahin ki khayaal-e-khuda nahin
sab kuchh bashar ke dil mein hai ai shaikh kya nahin
waqif nahin ho tum abhi haal-e-raqeeb se
main ne bura kaha jo use kya bura nahin
thehre raho ki baat hi hogi tamaam raat
darte ho kyun kuchh aur mera muddaa nahin
bhooli behisht mein bhi na angoor ki mujhe
jab pee may-e-tahoor kaha vo maza nahin
poori na kar jo vasl ki khwaahish to qatl kar
kya teri tarah teg bhi haajat-rava nahin
ik main hoon apne dil mein tujhe dekhta hoon roz
ik tu hai mud ke meri taraf dekhta nahin
pehle to us ne vasl ka iqaar kar liya
phir thodi der soch ke kehne laga nahin
o sone waale sone na degi tujhe kabhi
ye meri aah-e-garm hai baad-e-saba nahin
jaao na muddai ki mulaqaat ke liye
tum aao ya na aao ye matlab mera nahin
ai dil kidhar hai koocha-e-gesoo se de sada
dhoondhoon kahaan andhere mein kuchh soojhtaa nahin
saaye ka bhi pata nahin vo aaye is tarah
sajde kahaan karoon ki kahi naqsh-e-paa nahin
saabit hai jurm-e-ishq to daawa-e-ishq se
ham kis tarah kahein ki hamaari khata nahin
barsaat mein bhi tum kabhi peete nahin faheem
aisa bhi ab pasand mujhe ittiqa nahin
हाँ झूट है वो जान से तुम पर फ़िदा नहीं
सच कह रहे हो ग़ैर का ये हौसला नहीं
याद-ए-बुताँ नहीं कि ख़याल-ए-ख़ुदा नहीं
सब कुछ बशर के दिल में है ऐ शैख़ क्या नहीं
वाक़िफ़ नहीं हो तुम अभी हाल-ए-रक़ीब से
मैं ने बुरा कहा जो उसे क्या बुरा नहीं
ठहरे रहो कि बात ही होगी तमाम रात
डरते हो क्यों कुछ और मिरा मुद्दआ' नहीं
भूली बहिश्त में भी न अंगूर की मुझे
जब पी मय-ए-तहूर कहा वो मज़ा नहीं
पूरी न कर जो वस्ल की ख़्वाहिश तो क़त्ल कर
क्या तेरी तरह तेग़ भी हाजत-रवा नहीं
इक मैं हूँ अपने दिल में तुझे देखता हूँ रोज़
इक तू है मुड़ के मेरी तरफ़ देखता नहीं
पहले तो उस ने वस्ल का इक़रार कर लिया
फिर थोड़ी देर सोच के कहने लगा नहीं
ओ सोने वाले सोने न देगी तुझे कभी
ये मेरी आह-ए-गर्म है बाद-ए-सबा नहीं
जाओ न मुद्दई की मुलाक़ात के लिए
तुम आओ या न आओ ये मतलब मिरा नहीं
ऐ दिल किधर है कूचा-ए-गेसू से दे सदा
ढूँढूँ कहाँ अँधेरे में कुछ सूझता नहीं
साए का भी पता नहीं वो आए इस तरह
सज्दे कहाँ करूँ कि कहीं नक़्श-ए-पा नहीं
साबित है जुर्म-ए-इश्क़ तो दावा-ए-इश्क़ से
हम किस तरह कहें कि हमारी ख़ता नहीं
बरसात में भी तुम कभी पीते नहीं 'फहीम'
ऐसा भी अब पसंद मुझे इत्तिक़ा नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Faheem Gorakhpuri
our suggestion based on Faheem Gorakhpuri
As you were reading Mulaqat Shayari Shayari