ek dam us ne juda ki na naqaab-e-aariz | एक दम उस ने जुदा की न नक़ाब-ए-आरिज़

  - Faheem Gorakhpuri

ek dam us ne juda ki na naqaab-e-aariz
na hua door shab-e-wasl hijaab-e-aariz

kis pe barham hain buton ka jo bana hai chehra
kis pe laayega gazab aaj itaab-e-aariz

laala-o-gul hain zameen par to falak par mah-o-mehr
lekin in mein se nahin koi jawaab-e-aariz

dekh kar jalwa-e-rukhsaar hua main behosh
tez kis darja thi allah sharaab-e-aariz

sho'la-e-toor gul-e-tar mah-o-khurshid-e-falak
aashiqon mein tire kya kya hain khitaab-e-aariz

na diya musahf-e-rukhsaar ka bosa ham ko
us ne khuli na shab-e-wasl kitaab-e-aariz

एक दम उस ने जुदा की न नक़ाब-ए-आरिज़
न हुआ दूर शब-ए-वस्ल हिजाब-ए-आरिज़

किस पे बरहम हैं बुतों का जो बना है चेहरा
किस पे लाएगा ग़ज़ब आज इताब-ए-आरिज़

लाला-ओ-गुल हैं ज़मीं पर तो फ़लक पर मह-ओ-मेहर
लेकिन इन में से नहीं कोई जवाब-ए-आरिज़

देख कर जल्वा-ए-रुख़्सार हुआ मैं बेहोश
तेज़ किस दर्जा थी अल्लाह शराब-ए-आरिज़

शो'ला-ए-तूर गुल-ए-तर मह-ओ-ख़ुर्शीद-ए-फ़लक
आशिक़ों में तिरे क्या क्या हैं ख़िताब-ए-आरिज़

न दिया मुसहफ़-ए-रुख़्सार का बोसा हम को
उस ने खोली न शब-ए-वस्ल किताब-ए-आरिज़

  - Faheem Gorakhpuri

Religion Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faheem Gorakhpuri

As you were reading Shayari by Faheem Gorakhpuri

Similar Writers

our suggestion based on Faheem Gorakhpuri

Similar Moods

As you were reading Religion Shayari Shayari