ai shaikh mujh ko khwaahish-e-baag-e-irm nahin | ऐ शैख़ मुझ को ख़्वाहिश-ए-बाग़-ए-इरम नहीं

  - Faheem Gorakhpuri

ai shaikh mujh ko khwaahish-e-baag-e-irm nahin
koocha buton ka mere liye us se kam nahin

pehli si us mein aadat-e-jaur-o-sitam nahin
afsos ab yahi hai ki is waqt ham nahin

haan koo-e-ghair mein tire naqsh-e-qadam nahin
tujh par mera gumaan khuda ki qasam nahin

mujh neem-jaan ke qatl mein taakheer is qadar
ma'aloom ho gaya tire khanjar mein dam nahin

naalo tumhaare haath hai furqat mein apni sharm
dekhen to aaj charkh nahin hai ki ham nahin

aab-e-baqa ho mujh ko pilao jo aab-e-tegh
tum zahar bhi jo do to vo amrit se kam nahin

karta hai mujh se ahad-e-wafaa to vo but magar
mujh ko kuchh e'tibaar khuda ki qasam nahin

mumkin nahin kahi ho thikaana faheem ka
teri nigaah-e-lutf agar ai sanam nahin

ऐ शैख़ मुझ को ख़्वाहिश-ए-बाग़-ए-इरम नहीं
कूचा बुतों का मेरे लिए उस से कम नहीं

पहली सी उस में आदत-ए-जौर-ओ-सितम नहीं
अफ़्सोस अब यही है कि इस वक़्त हम नहीं

हाँ कू-ए-ग़ैर में तिरे नक़्श-ए-क़दम नहीं
तुझ पर मिरा गुमान ख़ुदा की क़सम नहीं

मुझ नीम-जाँ के क़त्ल में ताख़ीर इस क़दर
मा'लूम हो गया तिरे ख़ंजर में दम नहीं

नालो तुम्हारे हाथ है फ़ुर्क़त में अपनी शर्म
देखें तो आज चर्ख़ नहीं है कि हम नहीं

आब-ए-बक़ा हो मुझ को पिलाओ जो आब-ए-तेग़
तुम ज़हर भी जो दो तो वो अमृत से कम नहीं

करता है मुझ से अहद-ए-वफ़ा तो वो बुत मगर
मुझ को कुछ ए'तिबार ख़ुदा की क़सम नहीं

मुमकिन नहीं कहीं हो ठिकाना 'फहीम' का
तेरी निगाह-ए-लुत्फ़ अगर ऐ सनम नहीं

  - Faheem Gorakhpuri

Qatil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faheem Gorakhpuri

As you were reading Shayari by Faheem Gorakhpuri

Similar Writers

our suggestion based on Faheem Gorakhpuri

Similar Moods

As you were reading Qatil Shayari Shayari