shaida mujhe banaya gesu-e-ambareen ka
dil hi mera hua hai lo saanp aasteen ka
us ko khayal aaya phir us but-e-haseen ka
allah hai nigahbaan mere dil-e-hazeen ka
go paas vo nahin hain par dekhta hoon har dam
leta hoon main tasavvur se kaam doorbeen ka
huroon ke zikr par main aaya nahin hoon wa'iz
mujh ko khayal is dam aaya hai ik haseen ka
kuchh iztiraab dil ka be-taabi-e-jigar kuchh
us ko suna diya yun qissa kahi kahi ka
tujh ko jo hai mukarna mahshar mein mere khun se
qaateel chhuda le pehle dhabba tu aasteen ka
शैदा मुझे बनाया गेसू-ए-अम्बरीं का
दिल ही मिरा हुआ है लो साँप आस्तीं का
उस को ख़याल आया फिर उस बुत-ए-हसीं का
अल्लाह है निगहबाँ मेरे दिल-ए-हज़ीं का
गो पास वो नहीं हैं पर देखता हूँ हर दम
लेता हूँ मैं तसव्वुर से काम दूरबीं का
हूरों के ज़िक्र पर मैं आया नहीं हूँ वाइ'ज़
मुझ को ख़याल इस दम आया है इक हसीं का
कुछ इज़्तिराब दिल का बे-ताबि-ए-जिगर कुछ
उस को सुना दिया यूँ क़िस्सा कहीं कहीं का
तुझ को जो है मुकरना महशर में मेरे ख़ूँ से
क़ातिल छुड़ा ले पहले धब्बा तू आस्तीं का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Faheem Gorakhpuri
our suggestion based on Faheem Gorakhpuri
As you were reading Ibaadat Shayari Shayari