tadapen kab tak tiri furqat mein mohabbat waale | तड़पें कब तक तिरी फ़ुर्क़त में मोहब्बत वाले

  - Faheem Gorakhpuri

tadapen kab tak tiri furqat mein mohabbat waale
aa idhar bhi kabhi o naaz-o-nazaakat waale

shaikh-o-waiz hon na kis tarah karaamat waale
hazrat-e-peer-e-mughaan ki hain ye sohbat waale

kab tak eezaayein sahen teri mohabbat waale
rehm kar rehm kar o zulm ki aadat waale

shaikh rindon ko bura kah ke gunahgaar na ban
are kambakht yahi log hain jannat waale

dekh ja aa ke ki ab naz'a ki haalat hai meri
itni takleef kar ai meri nazaakat waale

mujh se aasi ko jo mahshar mein mila baagh-e-behisht
rah gaye dekh ke munh zuhd-o-ibaadat waale

teri furqat mein tadpata hai mera dil kaisa
dekh aa kar kabhi o sakht tabeeyat waale

jhoom kar aane to de abr-e-siyah ai saaqi
abhi aa jaayenge maykhaane ki sohbat waale

dil to kya jaan fida kar den tire qadmon par
aashiqon mein tire aise bhi hain himmat waale

cheekh uthe aate hi masjid mein janaab-e-waaiz
chaunk uthte hain yun hi khwaab se ghaflat waale

koi karta hai may-e-ishq ko jaayez koi man'
dekhen kya hukm lagaate hain shari'at waale

sohbat-e-may mein bhi milta nahin wa'iz ko maza
aise dekhe hi nahin khushk tabeeyat waale

rah gaya chup hi sawaalon pe nakeerain ke main
sun chuka tha ki farishte hain ye jannat waale

kal se hai waada-e-wasl aaj na kah yaad nahin
is qadar bhool na o bhool ki aadat waale

qabr se uth ke qayamat mein wahin pohoonchenge
hauz-e-kauthar hi pe dam lenge tire matwaale

mayyat-e-aashiq-e-shaida hai uthaana laazim
itna naazuk na ban o mere nazaakat waale

mufail ho ke hue pursish-e-isyaa'n se bari
sab se achhe rahe mahshar mein nadaamat waale

ham kahein kya ki hamein kuchh nahin aata hai faheem
naaz karte hain tabeeyat pe tabeeyat waale

तड़पें कब तक तिरी फ़ुर्क़त में मोहब्बत वाले
आ इधर भी कभी ओ नाज़-ओ-नज़ाकत वाले

शैख़-ओ-वाइज़ हों न किस तरह करामत वाले
हज़रत-ए-पीर-ए-मुग़ाँ की हैं ये सोहबत वाले

कब तक ईज़ाएँ सहें तेरी मोहब्बत वाले
रहम कर रहम कर ओ ज़ुल्म की आदत वाले

शैख़ रिंदों को बुरा कह के गुनहगार न बन
अरे कम्बख़्त यही लोग हैं जन्नत वाले

देख जा आ के कि अब नज़्अ' की हालत है मिरी
इतनी तकलीफ़ कर ऐ मेरी नज़ाकत वाले

मुझ से आसी को जो महशर में मिला बाग़-ए-बहिश्त
रह गए देख के मुँह ज़ुहद-ओ-इबादत वाले

तेरी फ़ुर्क़त में तड़पता है मिरा दिल कैसा
देख आ कर कभी ओ सख़्त तबीअत वाले

झूम कर आने तो दे अब्र-ए-सियह ऐ साक़ी
अभी आ जाएँगे मयख़ाने की सोहबत वाले

दिल तो क्या जान फ़िदा कर दें तिरे क़दमों पर
आशिक़ों में तिरे ऐसे भी हैं हिम्मत वाले

चीख़ उठे आते ही मस्जिद में जनाब-ए-वाइज़
चौंक उठते हैं यूँ ही ख़्वाब से ग़फ़्लत वाले

कोई करता है मय-ए-इश्क़ को जाएज़ कोई मनअ'
देखें क्या हुक्म लगाते हैं शरीअ'त वाले

सोहबत-ए-मय में भी मिलता नहीं वाइ'ज़ को मज़ा
ऐसे देखे ही नहीं ख़ुश्क तबीअत वाले

रह गया चुप ही सवालों पे नकीरैन के मैं
सुन चुका था कि फ़रिश्ते हैं ये जन्नत वाले

कल से है वादा-ए-वस्ल आज न कह याद नहीं
इस क़दर भूल न ओ भूल की आदत वाले

क़ब्र से उठ के क़यामत में वहीं पहूँचेंगे
हौज़-ए-कौसर ही पे दम लेंगे तिरे मतवाले

मय्यत-ए-आशिक़-ए-शैदा है उठाना लाज़िम
इतना नाज़ुक न बन ओ मेरे नज़ाकत वाले

मुन्फ़इल हो के हुए पुर्सिश-ए-इस्याँ से बरी
सब से अच्छे रहे महशर में नदामत वाले

हम कहें क्या कि हमें कुछ नहीं आता है 'फहीम'
नाज़ करते हैं तबीअत पे तबीअत वाले

  - Faheem Gorakhpuri

Love Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faheem Gorakhpuri

As you were reading Shayari by Faheem Gorakhpuri

Similar Writers

our suggestion based on Faheem Gorakhpuri

Similar Moods

As you were reading Love Shayari Shayari