ye sach hai un mein ye baatein to haan hain
bade bad-zan nihaayat bad-gumaan hain
galat hai ye vo ham par meherbaan hain
kahaan apni samajh hai ham kahaan hain
na ye poochen na aaye hijr mein maut
khuda bhoola hai but na-mehrabaan hain
nahin uthte hain aa kar gair hargiz
mohabbat mein yahi baar-e-garaan hain
suboot-e-ishq hai lab khushk sard aah
chhupaayein kya ki ye sab to ayaan hain
na poocho be-khudi-e-ishq ham se
khabar bhi kuchh nahin hai ham kahaan hain
vo kuchh samjhen suna den haal-e-dil to
yahi na vo nihaayat bad-gumaan hain
jab aaya naavak-e-qaatil soo-e-dil
jigar hi bol utha ham yahan hain
abhi ukta gaye tum hazrat-e-dil
mohabbat mein hazaaron imtihaan hain
hamein bahla ke rahte hain gham-o-ranj
yahi furqat mein goya meherbaan hain
na kyun rashk aaye bakht-e-muddai par
ki vo us par bahut hi meherbaan hain
karein kis tarah chaahat un ki ham kam
abhi naam-e-khuda vo naujavaan hain
kabhi kar di thi zaahir khwaahish-e-wasl
jabhi se to bahut vo bad-gumaan hain
haseenon mein nahin koi buraai
magar ik aib ye hai bad-zabaan hain
na kyun lutf aaye ab un ke sitam mein
suna hai vo shareek-e-aasmaan hain
kahe dete hain ab dil ko sambhalo
ki ham aamada-e-aah-o-fughaan hain
samjhte hain hamein aur gair ko ek
hamaare aap achhe qadr-daan hain
zara thehro jo aaye ho dam-e-naz'a
ki ab ham koi dam ke mehmaan hain
faheem itna hi kya kam hai hamein fakhr
suno ahl-e-zabaan sheerin-zabaan hain
ये सच है उन में ये बातें तो हाँ हैं
बड़े बद-ज़न निहायत बद-गुमाँ हैं
ग़लत है ये वो हम पर मेहरबाँ हैं
कहाँ अपनी समझ है हम कहाँ हैं
न ये पूछें न आए हिज्र में मौत
ख़ुदा भूला है बुत ना-मेहरबाँ हैं
नहीं उठते हैं आ कर ग़ैर हरगिज़
मोहब्बत में यही बार-ए-गराँ हैं
सुबूत-ए-इश्क़ है लब ख़ुश्क सर्द आह
छुपाएँ क्या कि ये सब तो अयाँ हैं
न पूछो बे-ख़ुदी-ए-इश्क़ हम से
ख़बर भी कुछ नहीं है हम कहाँ हैं
वो कुछ समझें सुना दें हाल-ए-दिल तो
यही ना वो निहायत बद-गुमाँ हैं
जब आया नावक-ए-क़ातिल सू-ए-दिल
जिगर ही बोल उट्ठा हम यहाँ हैं
अभी उक्ता गए तुम हज़रत-ए-दिल
मोहब्बत में हज़ारों इम्तिहाँ हैं
हमें बहला के रहते हैं ग़म-ओ-रंज
यही फ़ुर्क़त में गोया मेहरबाँ हैं
न क्यों रश्क आए बख़्त-ए-मुद्दई पर
कि वो उस पर बहुत ही मेहरबाँ हैं
करें किस तरह चाहत उन की हम कम
अभी नाम-ए-ख़ुदा वो नौजवाँ हैं
कभी कर दी थी ज़ाहिर ख़्वाहिश-ए-वस्ल
जभी से तो बहुत वो बद-गुमाँ हैं
हसीनों में नहीं कोई बुराई
मगर इक ऐब ये है बद-ज़बाँ हैं
न क्यों लुत्फ़ आए अब उन के सितम में
सुना है वो शरीक-ए-आसमाँ हैं
कहे देते हैं अब दिल को सँभालो
कि हम आमादा-ए-आह-ओ-फ़ुग़ाँ हैं
समझते हैं हमें और ग़ैर को एक
हमारे आप अच्छे क़द्र-दाँ हैं
ज़रा ठहरो जो आए हो दम-ए-नज़अ
कि अब हम कोई दम के मेहमाँ हैं
'फहीम' इतना ही क्या कम है हमें फ़ख़्र
सुनो अहल-ए-ज़बाँ शीरीं-ज़बाँ हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Faheem Gorakhpuri
our suggestion based on Faheem Gorakhpuri
As you were reading Mahatma Gandhi Shayari Shayari