dil jaaye magar dhyaan buton ka nahin jaata | दिल जाए मगर ध्यान बुतों का नहीं जाता

  - Faheem Gorakhpuri

dil jaaye magar dhyaan buton ka nahin jaata
sar jaaye magar ishq ka sauda nahin jaata

sach kahte hain sab log mohabbat ko bura hai
haal-e-dil-e-beemaar to dekha nahin jaata

ye kah ke vo baaleen se mere uth gaye afsos
kambakht tira haal to dekha nahin jaata

kya denge vo mere dil-e-sozaan ko tasalli
seene pe mere haath to rakha nahin jaata

tum chahte ho hosh mein aashiq ko jo laana
kyun lakh-lakha-e-zulf sungaaya nahin jaata

tu saamne mere nahin aata hai ye andher
aankhon hi mein rah ke tira parda nahin jaata

ghash kha ke kaleem ek hi jalwe mein gire tum
ab bhi arini ka tumhein daava nahin jaata

दिल जाए मगर ध्यान बुतों का नहीं जाता
सर जाए मगर इश्क़ का सौदा नहीं जाता

सच कहते हैं सब लोग मोहब्बत को बुरा है
हाल-ए-दिल-ए-बीमार तो देखा नहीं जाता

ये कह के वो बालीं से मिरे उठ गए अफ़्सोस
कम्बख़्त तिरा हाल तो देखा नहीं जाता

क्या देंगे वो मेरे दिल-ए-सोज़ाँ को तसल्ली
सीने पे मिरे हाथ तो रक्खा नहीं जाता

तुम चाहते हो होश में आशिक़ को जो लाना
क्यों लख़लख़ा-ए-ज़ुल्फ़ सुंघाया नहीं जाता

तू सामने मेरे नहीं आता है ये अंधेर
आँखों ही में रह के तिरा पर्दा नहीं जाता

ग़श खा के कलीम एक ही जल्वे में गिरे तुम
अब भी अरिनी का तुम्हें दावा नहीं जाता

  - Faheem Gorakhpuri

Sach Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faheem Gorakhpuri

As you were reading Shayari by Faheem Gorakhpuri

Similar Writers

our suggestion based on Faheem Gorakhpuri

Similar Moods

As you were reading Sach Shayari Shayari