ummeed-e-wasl us se khuda ki qasam nahin
kahte hain arz-e-bosa pe vo dam-b-dam nahin
us ka tawaaf karte hain ushshaq-e-roz-o-shab
koo-e-sanam bhi rutbe mein ka'be se kam nahin
mere sawaal-e-wasl ko lillaah rad na kar
dekh ai sanam ye sheva-e-ahl-e-karam nahin
huroon ka tujh mein husn hai pariyon ki shokhiyaan
ai but qasam khuda ki kisi se tu kam nahin
yaa dard-e-dil se mujh ko nahin chain ab ghadi
un ko qaraar shokhiyon se ek dam nahin
naazaan hon apne bakht-e-siyah par na kis tarah
ye teergi mein yaar ki zulfon se kam nahin
aankhen jo rone mein to tadapne mein dil hai fard
vo abr se to ye kisi bijli se kam nahin
apne liye main un se rakhoon ab umeed kya
sunta hoon marg-e-ghair ka kuchh un ko gham nahin
tum imtihaan-e-ghair kabhi karke dekh lo
raah-e-wafa mein vo kabhi saabit-qadam nahin
jo kaam un ke lab se vo tere qadam se ho
thokar bhi teri kuchh qum-e-eesa se kam nahin
kis dam nahin hai yaar ki teg-e-nigah ki yaad
kis waqt mere qatl ka saamaan bahm nahin
ham bewafaiyaan na karenge adoo ki tarah
tum ko wahi khayal abas hai vo ham nahin
apni wafa ka zikr haseenon mein rah gaya
duniya mein naam aaj hamaara hai ham nahin
aankhen jo roein hijr mein ik hashr ho bapaa
ye do habaab nooh ke toofaan se kam nahin
mamnoon hoon khuda ki inaayat ka ai faheem
raahat ka mere kaun sa saamaan bahm nahin
उम्मीद-ए-वस्ल उस से ख़ुदा की क़सम नहीं
कहते हैं अर्ज़-ए-बोसा पे वो दम-ब-दम नहीं
उस का तवाफ़ करते हैं उश्शाक़-ए-रोज़-ओ-शब
कू-ए-सनम भी रुत्बे में का'बे से कम नहीं
मेरे सवाल-ए-वस्ल को लिल्लाह रद न कर
देख ऐ सनम ये शेवा-ए-अहल-ए-करम नहीं
हूरों का तुझ में हुस्न है परियों की शोख़ियाँ
ऐ बुत क़सम ख़ुदा की किसी से तू कम नहीं
याँ दर्द-ए-दिल से मुझ को नहीं चैन अब घड़ी
उन को क़रार शोख़ियों से एक दम नहीं
नाज़ाँ हों अपने बख़्त-ए-सियह पर न किस तरह
ये तीरगी में यार की ज़ुल्फ़ों से कम नहीं
आँखें जो रोने में तो तड़पने में दिल है फ़र्द
वो अब्र से तो ये किसी बिजली से कम नहीं
अपने लिए मैं उन से रखूँ अब उमीद क्या
सुनता हूँ मर्ग-ए-ग़ैर का कुछ उन को ग़म नहीं
तुम इम्तिहान-ए-ग़ैर कभी करके देख लो
राह-ए-वफ़ा में वो कभी साबित-क़दम नहीं
जो काम उन के लब से वो तेरे क़दम से हो
ठोकर भी तेरी कुछ क़ुम-ए-ईसा से कम नहीं
किस दम नहीं है यार की तेग़-ए-निगह की याद
किस वक़्त मेरे क़त्ल का सामाँ बहम नहीं
हम बेवफ़ाइयाँ न करेंगे अदू की तरह
तुम को वही ख़याल अबस है वो हम नहीं
अपनी वफ़ा का ज़िक्र हसीनों में रह गया
दुनिया में नाम आज हमारा है हम नहीं
आँखें जो रोईं हिज्र में इक हश्र हो बपा
ये दो हबाब नूह के तूफ़ाँ से कम नहीं
मम्नून हूँ ख़ुदा की इनायत का ऐ 'फहीम'
राहत का मेरे कौन सा सामाँ बहम नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Faheem Gorakhpuri
our suggestion based on Faheem Gorakhpuri
As you were reading Qatil Shayari Shayari