har dam bataaye jaate hain ham bewafa nahin | हर दम बताए जाते हैं हम बेवफ़ा नहीं

  - Faheem Gorakhpuri

har dam bataaye jaate hain ham bewafa nahin
tum ko nahin yaqeen to shak ki dava nahin

vo kah rahe hain naaz se ham bewafa nahin
kis ka hai munh jo kah de ye daava baja nahin

zulf-e-rasa bhi yaar ki itni rasaa nahin
tool-e-shab-e-firaq ki kuchh intiha nahin

aane ko hai vo hosh-ruba ho ke be-naqaab
ai be-khudi jabhi to pata hosh ka nahin

o rask-e-hoor qatl na kar mujh gareeb ko
koocha tira behisht hai kuchh karbala nahin

bijli se bhi siva hai chamak mein nigaah-e-shokh
sach hai vo teg hi nahin jis par jila nahin

kal khush the vo jo poochte the meri aarzoo
kaisi ye mujh se chook hui kuchh kaha nahin

shaaki hoon apne bakht ka samjho to baat bhi
tum kyun bigad rahe ho tumhaara gila nahin

ro kar adoo ke sog mein andher kar diya
ai shokh aaj aankh tiri surma sa nahin

dil de ke main hua hadf-e-naavak-e-sitam
is mein meri khata hai tumhaari khata nahin

ghabraao mat jo maangte hain ham dua-e-wasl
maqbool ho kabhi vo hamaari dua nahin

pariyon mein ye ada hai na huroon mein ye banaao
khud husn kah raha hai ki saani tira nahin

insaaf ki jo baat hai kehta hoon ai faheem
sha'ir nahin jo mo'taqid ehsaan ka nahin

हर दम बताए जाते हैं हम बेवफ़ा नहीं
तुम को नहीं यक़ीन तो शक की दवा नहीं

वो कह रहे हैं नाज़ से हम बेवफ़ा नहीं
किस का है मुँह जो कह दे ये दावा बजा नहीं

ज़ुल्फ़-ए-रसा भी यार की इतनी रसा नहीं
तूल-ए-शब-ए-फ़िराक़ की कुछ इंतिहा नहीं

आने को है वो होश-रुबा हो के बे-नक़ाब
ऐ बे-ख़ुदी जभी तो पता होश का नहीं

ओ रश्क-ए-हूर क़त्ल न कर मुझ ग़रीब को
कूचा तिरा बहिश्त है कुछ कर्बला नहीं

बिजली से भी सिवा है चमक में निगाह-ए-शोख़
सच है वो तेग़ ही नहीं जिस पर जिला नहीं

कल ख़ुश थे वो जो पूछते थे मेरी आरज़ू
कैसी ये मुझ से चूक हुई कुछ कहा नहीं

शाकी हूँ अपने बख़्त का समझो तो बात भी
तुम क्यों बिगड़ रहे हो तुम्हारा गिला नहीं

रो कर अदू के सोग में अंधेर कर दिया
ऐ शोख़ आज आँख तिरी सुर्मा सा नहीं

दिल दे के मैं हुआ हदफ़-ए-नावक-ए-सितम
इस में मिरी ख़ता है तुम्हारी ख़ता नहीं

घबराओ मत जो माँगते हैं हम दुआ-ए-वस्ल
मक़्बूल हो कभी वो हमारी दुआ नहीं

परियों में ये अदा है न हूरों में ये बनाओ
ख़ुद हुस्न कह रहा है कि सानी तिरा नहीं

इंसाफ़ की जो बात है कहता हूँ ऐ 'फहीम'
शाइ'र नहीं जो मो'तक़िद एहसान का नहीं

  - Faheem Gorakhpuri

Bhai Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faheem Gorakhpuri

As you were reading Shayari by Faheem Gorakhpuri

Similar Writers

our suggestion based on Faheem Gorakhpuri

Similar Moods

As you were reading Bhai Shayari Shayari