aap ko gair se ulfat ho gai | आप को ग़ैर से उल्फ़त हो गई

  - Faheem Gorakhpuri

aap ko gair se ulfat ho gai
haan jabhi to mujh se nafrat ho gai

in buton se tark-e-ulft ho gai
mujh pe khaaliq ki inaayat ho gai

hijr mein us ke ye vehshat ho gai
apne saaye se bhi nafrat ho gai

khwaab mein un ki ziyaarat ho gai
aaj poori dil ki hasrat ho gai

chaliye jhagdon se faraaghat ho gai
jaan apni nazr-e-furqat ho gai

hijr mein mujh pe jo kuchh guzri na pooch
ho gai jo meri haalat ho gai

had tiri jaur-o-jafa-o-zulm ki
ho gai o be-muravvat ho gai

ab to vo soorat bhi dikhlaate nahin
chaar din sahib-salaamat ho gai

mujh ko ik din hai bajaae ek saal
aap ki doori qayamat ho gai

jaan di naahak ko main ne hijr mein
muft us but se nadaamat ho gai

di ye saaqi ne mujhe kaisi sharaab
bad-maza meri tabi'at ho gai

ghaur se sunte hain ik ik harf vo
dastaan-e-gham hikaayat ho gai

sach kaha ai dil buton ke zulm se
jaan aajiz fil-haqeeqat ho gai

us ke kooche ki gadaai ai faheem
mere haq mein baadshaahat ho gai

आप को ग़ैर से उल्फ़त हो गई
हाँ जभी तो मुझ से नफ़रत हो गई

इन बुतों से तर्क-ए-उल्फ़त हो गई
मुझ पे ख़ालिक़ की इनायत हो गई

हिज्र में उस के ये वहशत हो गई
अपने साए से भी नफ़रत हो गई

ख़्वाब में उन की ज़ियारत हो गई
आज पूरी दिल की हसरत हो गई

चलिए झगड़ों से फ़राग़त हो गई
जान अपनी नज़्र-ए-फ़ुर्क़त हो गई

हिज्र में मुझ पे जो कुछ गुज़री न पूछ
हो गई जो मेरी हालत हो गई

हद तिरी जौर-ओ-जफ़ा-ओ-ज़ुल्म की
हो गई ओ बे-मुरव्वत हो गई

अब तो वो सूरत भी दिखलाते नहीं
चार दिन साहब-सलामत हो गई

मुझ को इक दिन है बजाए एक साल
आप की दूरी क़यामत हो गई

जान दी नाहक़ को मैं ने हिज्र में
मुफ़्त उस बुत से नदामत हो गई

दी ये साक़ी ने मुझे कैसी शराब
बद-मज़ा मेरी तबीअ'त हो गई

ग़ौर से सुनते हैं इक इक हर्फ़ वो
दास्तान-ए-ग़म हिकायत हो गई

सच कहा ऐ दिल बुतों के ज़ुल्म से
जान आजिज़ फ़िल-हक़ीक़त हो गई

उस के कूचे की गदाई ऐ 'फहीम'
मेरे हक़ में बादशाहत हो गई

  - Faheem Gorakhpuri

Dushmani Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faheem Gorakhpuri

As you were reading Shayari by Faheem Gorakhpuri

Similar Writers

our suggestion based on Faheem Gorakhpuri

Similar Moods

As you were reading Dushmani Shayari Shayari