sabz shaakhon par naye | सब्ज़ शाख़ों पर नए

  - Faiyaz Rifat

sabz shaakhon par naye
surkh patte
makhmal ki soorat sajne lage
puraani shaakhon par
naye panchi chahakne lage
pichhla mausam kab beeta
naya mausam kab aaya
ye soch kar
ham hansne lage
naye aashiyaane
naye mausam
sab tumhaare hain
beeti rutoon ke manzar-naame
bas hamaare hain

सब्ज़ शाख़ों पर नए
सुर्ख़ पत्ते
मख़मल की सूरत सजने लगे
पुरानी शाख़ों पर
नए पंछी चहकने लगे
पिछ्ला मौसम कब बीता
नया मौसम कब आया
ये सोच कर
हम हँसने लगे
नए आशियाने
नए मौसम
सब तुम्हारे हैं
बीती रुतों के मंज़र-नामे
बस हमारे हैं

  - Faiyaz Rifat

Mausam Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Faiyaz Rifat

Similar Moods

As you were reading Mausam Shayari Shayari