ab chalo dekh len yahi kar ke | अब चलो देख लें यही कर के

  - Faiz rahil Khan

ab chalo dekh len yahi kar ke
apne maazi pe shaay'ri kar ke

le gai raatein phir ujaalon ko
phir se baatein badi badi kar ke

raatein mujh mein sukoon kitna hai
ham ne dekha ye bandagi kar ke

zindagi ik kitaab thi phir bhi
log guzre galat sahi kar ke

lautna hai mujhe wahin yaaron
un ke hi naam zindagi kar ke

faiz sauda nahin kiya ham ne
in andheron se raushni kar ke

अब चलो देख लें यही कर के
अपने माज़ी पे शाइ'री कर के

ले गई रातें फिर उजालों को
फिर से बातें बड़ी बड़ी कर के

रातें मुझ में सुकून कितना है
हम ने देखा ये बंदगी कर के

ज़िंदगी इक किताब थी फिर भी
लोग गुज़रे ग़लत सही कर के

लौटना है मुझे वहीं यारों
उन के ही नाम ज़िंदगी कर के

'फ़ैज़' सौदा नहीं किया हम ने
इन अँधेरों से रौशनी कर के

  - Faiz rahil Khan

Kitaaben Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faiz rahil Khan

As you were reading Shayari by Faiz rahil Khan

Similar Writers

our suggestion based on Faiz rahil Khan

Similar Moods

As you were reading Kitaaben Shayari Shayari