mere bacche ne jab mujh se kaha mamma
zara jugnoo mujhe la do
mujhe titli ke rangon ko bhi choona hai
sitaare aasmaan par hi uge hain kyun
zameen par kyun nahin aate
mujhe bas chaand la do us se kheloonga
main chaunk utthi
yahi kuchh main ne apni maa se poocha tha
mera ma'soom sa bachpan
jo mutthi se fisal kar kho gaya shaayad
mera baccha jo mera aaj hai
aur aane waala ik haseen kal hai
lahu mein us ki baaton se hi halchal hai
ye mera qeemti pal hai
mera baccha haseen ta'beer ban kar saamne hai aur
maazi khwaab lagta hai
to kya main khwaab se aage nikal aayi
मिरे बच्चे ने जब मुझ से कहा मम्मा
ज़रा जुगनू मुझे ला दो
मुझे तितली के रंगों को भी छूना है
सितारे आसमाँ पर ही उगे हैं क्यूँ
ज़मीं पर क्यूँ नहीं आते
मुझे बस चाँद ला दो उस से खेलूँगा
मैं चौंक उट्ठी
यही कुछ मैं ने अपनी माँ से पूछा था
मिरा मा'सूम सा बचपन
जो मुट्ठी से फिसल कर खो गया शायद
मिरा बच्चा जो मेरा आज है
और आने वाला इक हसीं कल है
लहू में उस की बातों से ही हलचल है
ये मेरा क़ीमती पल है
मिरा बच्चा हसीं ता'बीर बन कर सामने है और
माज़ी ख़्वाब लगता है
तो क्या मैं ख़्वाब से आगे निकल आई
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Fakhira batool
our suggestion based on Fakhira batool
As you were reading Baaten Shayari Shayari