bijli si ik aur gira di zalim ne
zabt ki saari khep jala di zalim ne
pehli se main jaan chhudaata firta tha
aaj nayi tasveer laga di zalim ne
dil aankhon ke saath hi baahar aaya hai
itni is ki pyaas badha di zalim ne
dupatte ka parda bhi nahin rakha aaj
paabandi ik aur utha di zalim ne
us ke aage baat bhi karna mushkil hai
honton par bhi mohr laga di zalim ne
ishq mein aisi chot lagaaee seene par
ghazalon ki takmeel kara di zalim ne
बिजली सी इक और गिरा दी ज़ालिम ने
ज़ब्त की सारी खेप जला दी ज़ालिम ने
पहली से मैं जान छुड़ाता फिरता था
आज नई तस्वीर लगा दी ज़ालिम ने
दिल आँखों के साथ ही बाहर आया है
इतनी इस की प्यास बढ़ा दी ज़ालिम ने
दुपट्टे का पर्दा भी नहीं रक्खा आज
पाबंदी इक और उठा दी ज़ालिम ने
उस के आगे बात भी करना मुश्किल है
होंटों पर भी मोहर लगा दी ज़ालिम ने
इश्क़ में ऐसी चोट लगाई सीने पर
ग़ज़लों की तकमील करा दी ज़ालिम ने
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Fakhr Abbas
our suggestion based on Fakhr Abbas
As you were reading Tasweer Shayari Shayari