us ne kiya hijaab mere dekhne ke ba'ad
us ko mila savaab mere dekhne ke ba'ad
soorat pe chaar-chaand lage the janab ki
ye bhi tha inqilaab mere dekhne ke ba'ad
meri nazar se daliyaan choo kar hari hui
khilne lage gulaab mere dekhne ke ba'ad
itna main she'r-fahm nahin hoon magar yahan
chhapte hain intikhaab mere dekhne ke ba'ad
khulta hi ja raha hai kisi rukh ke roo-b-roo
sharm-o-haya ka baab mere dekhne ke ba'ad
pehle nazar utha ke mujhe dekhte bhi the
lekin ye ijtinaab mere dekhne ke ba'ad
meri nazar mein dosto shiddat bala ki thi
toota pada tha khwaab mere dekhne ke ba'ad
उस ने किया हिजाब मिरे देखने के बा'द
उस को मिला सवाब मिरे देखने के बा'द
सूरत पे चार-चाँद लगे थे जनाब की
ये भी था इंक़लाब मिरे देखने के बा'द
मेरी नज़र से डालियाँ छू कर हरी हुईं
खिलने लगे गुलाब मिरे देखने के बा'द
इतना मैं शे'र-फ़हम नहीं हूँ मगर यहाँ
छपते हैं इंतिख़ाब मिरे देखने के बा'द
खुलता ही जा रहा है किसी रुख़ के रू-ब-रू
शर्म-ओ-हया का बाब मिरे देखने के बा'द
पहले नज़र उठा के मुझे देखते भी थे
लेकिन ये इज्तिनाब मिरे देखने के बा'द
मेरी नज़र में दोस्तो शिद्दत बला की थी
टूटा पड़ा था ख़्वाब मिरे देखने के बा'द
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Fakhr Abbas
our suggestion based on Fakhr Abbas
As you were reading Chehra Shayari Shayari