mizaaj-e-mustaqil dena shu'ur-e-mo'atabar dena | मिज़ाज-ए-मुस्तक़िल देना शुऊर-ए-मोअतबर देना

  - Gauhar Usmani

mizaaj-e-mustaqil dena shu'ur-e-mo'atabar dena
jhuka paaye na jis ko waqt ka toofaan vo sar dena

mujhe umr-e-khizr dena ki umr-e-mukhtasar dena
mere afkaar lekin zinda-e-jaaved kar dena

jo utthe samt-e-maazi vo nazar mera nahin haasil
pas-e-deewaar-e-mustaqbil jo dekhe vo nazar dena

mujahid jang ke maidaan ko jaaye jis tarah ghar se
ye manzar zehan mein rakh kar mujhe izn-e-safar dena

agar is razm-gaah-e-dehr mein jeena hi hai mujh ko
to phir in yurishon mein zinda rahne ka hunar dena

siva ho jaaye jis se azmat-e-deeda-vari gauhar
nazar dena to yaarab phir mujhe aisi nazar dena

मिज़ाज-ए-मुस्तक़िल देना शुऊर-ए-मोअतबर देना
झुका पाए न जिस को वक़्त का तूफ़ाँ वो सर देना

मुझे उम्र-ए-ख़िज़र देना कि उम्र-ए-मुख़्तसर देना
मिरे अफ़्कार लेकिन ज़िंदा-ए-जावेद कर देना

जो उट्ठे सम्त-ए-माज़ी वो नज़र मेरा नहीं हासिल
पस-ए-दीवार-ए-मुस्तक़बिल जो देखे वो नज़र देना

मुजाहिद जंग के मैदाँ को जाए जिस तरह घर से
ये मंज़र ज़ेहन में रख कर मुझे इज़्न-ए-सफ़र देना

अगर इस रज़्म-गाह-ए-दहर में जीना ही है मुझ को
तो फिर इन यूरिशों में ज़िंदा रहने का हुनर देना

सिवा हो जाए जिस से अज़्मत-ए-दीदा-वरी 'गौहर'
नज़र देना तो यारब फिर मुझे ऐसी नज़र देना

  - Gauhar Usmani

Fasad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Gauhar Usmani

As you were reading Shayari by Gauhar Usmani

Similar Writers

our suggestion based on Gauhar Usmani

Similar Moods

As you were reading Fasad Shayari Shayari