b-juz khyaal-e-gham-e-mohabbat koi mera hum-safar nahin hai | ब-जुज़ ख़याल-ए-ग़म-ए-मोहब्बत कोई मिरा हम-सफ़र नहीं है

  - Gauhar Usmani

b-juz khyaal-e-gham-e-mohabbat koi mera hum-safar nahin hai
main ab wahan se guzar raha hoon jahaan kisi ka guzar nahin hai

alam bhi kab saath chhod jaaye kisi ko us ki khabar nahin hai
bahaar to phir bahaar thehri khizaan bhi ab mo'tabar nahin hai

fazaayein nikhat mein dhal rahi hain wafa ka iqaar ho raha hai
khud apne jalvo mein vo bhi gum hain hamein bhi apni khabar nahin hai

mujhe haqeeqat se vaasta hai naqeeb-e-fitrat hoon main azal se
khizaan ko fasl-e-bahaar kah doon ye mera zarf-e-nazar nahin hai

ब-जुज़ ख़याल-ए-ग़म-ए-मोहब्बत कोई मिरा हम-सफ़र नहीं है
मैं अब वहाँ से गुज़र रहा हूँ जहाँ किसी का गुज़र नहीं है

अलम भी कब साथ छोड़ जाए किसी को उस की ख़बर नहीं है
बहार तो फिर बहार ठहरी ख़िज़ाँ भी अब मो'तबर नहीं है

फ़ज़ाएँ निकहत में ढल रही हैं वफ़ा का इक़रार हो रहा है
ख़ुद अपने जल्वों में वो भी गुम हैं हमें भी अपनी ख़बर नहीं है

मुझे हक़ीक़त से वास्ता है नक़ीब-ए-फ़ितरत हूँ मैं अज़ल से
ख़िज़ाँ को फ़स्ल-ए-बहार कह दूँ ये मेरा ज़र्फ़-ए-नज़र नहीं है

  - Gauhar Usmani

Rishta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Gauhar Usmani

As you were reading Shayari by Gauhar Usmani

Similar Writers

our suggestion based on Gauhar Usmani

Similar Moods

As you were reading Rishta Shayari Shayari