khwaab tere hain ye khwaabon ka nagar tera hai | ख़्वाब तेरे हैं ये ख़्वाबों का नगर तेरा है

  - Gauhar Usmani

khwaab tere hain ye khwaabon ka nagar tera hai
zikr-e-anfaas mein har shaam-o-sehar tera hai

jalwa har-gaam sar-e-raah guzar tera hai
aankh meri hai magar husn-e-nazar tera hai

be-iraada jo uthe hain vo qadam mere hain
be-mahaba jo guzarta hai safar tera hai

meri be-rabt duaon ko rasai de de
lafz mere hain magar baab-e-asar tera hai

zindagi kehta hoon main jis ko zabaan mein apni
vo safar mera sahi izn-e-safar tera hai

sarhadein hain meri nazaron ki ye mehr-o-mahtaab
aur un se bhi jo aage hai vo dar tera hai

nasl-o-mazhab ki koi qaid nahin hai gauhar
zikr har lab pe b-alfaaz-e-digar tera hai

ख़्वाब तेरे हैं ये ख़्वाबों का नगर तेरा है
ज़िक्र-ए-अन्फ़ास में हर शाम-ओ-सहर तेरा है

जल्वा हर-गाम सर-ए-राह गुज़र तेरा है
आँख मेरी है मगर हुस्न-ए-नज़र तेरा है

बे-इरादा जो उठे हैं वो क़दम मेरे हैं
बे-महाबा जो गुज़रता है सफ़र तेरा है

मेरी बे-रब्त दुआओं को रसाई दे दे
लफ़्ज़ मेरे हैं मगर बाब-ए-असर तेरा है

ज़िंदगी कहता हूँ मैं जिस को ज़बाँ में अपनी
वो सफ़र मेरा सही इज़्न-ए-सफ़र तेरा है

सरहदें हैं मिरी नज़रों की ये मेहर-ओ-महताब
और उन से भी जो आगे है वो दर तेरा है

नस्ल-ओ-मज़हब की कोई क़ैद नहीं है 'गौहर'
ज़िक्र हर लब पे ब-अल्फ़ाज़-ए-दिगर तेरा है

  - Gauhar Usmani

Crime Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Gauhar Usmani

As you were reading Shayari by Gauhar Usmani

Similar Writers

our suggestion based on Gauhar Usmani

Similar Moods

As you were reading Crime Shayari Shayari