teri tasveer ko dhundla nahin hone denge | तेरी तस्वीर को धुँदला नहीं होने देंगे

  - Gauhar Usmani

teri tasveer ko dhundla nahin hone denge
zindagi ham tujhe rusva nahin hone denge

sar pe har lamha rahenge tire aanchal ki tarah
tu ghazal hai tujhe tanhaa nahin hone denge

jin makaanon se hai mansoob khuda ki azmat
un makaanon mein andhera nahin hone denge

jaan jaati hai chali jaaye bala se lekin
ham mohabbat ko tamasha nahin hone denge

jin ko saaye mein gunaahon ko panaahen mil jaayen
un faseelon ko ab ooncha nahin hone denge

paar kar le jo qanaat ki hadon ko gauhar
itna daaman ko kushaada nahin hone denge

तेरी तस्वीर को धुँदला नहीं होने देंगे
ज़िंदगी हम तुझे रुस्वा नहीं होने देंगे

सर पे हर लम्हा रहेंगे तिरे आँचल की तरह
तू ग़ज़ल है तुझे तन्हा नहीं होने देंगे

जिन मकानों से है मंसूब ख़ुदा की अज़्मत
उन मकानों में अँधेरा नहीं होने देंगे

जान जाती है चली जाए बला से लेकिन
हम मोहब्बत को तमाशा नहीं होने देंगे

जिन को साए में गुनाहों को पनाहें मिल जाएँ
उन फ़सीलों को अब ऊँचा नहीं होने देंगे

पार कर ले जो क़नाअत की हदों को 'गौहर'
इतना दामन को कुशादा नहीं होने देंगे

  - Gauhar Usmani

Life Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Gauhar Usmani

As you were reading Shayari by Gauhar Usmani

Similar Writers

our suggestion based on Gauhar Usmani

Similar Moods

As you were reading Life Shayari Shayari