yaarab dil-o-nazar pe musallat kabhi na ho | यारब दिल-ओ-नज़र पे मुसल्लत कभी न हो

  - Gauhar Usmani

yaarab dil-o-nazar pe musallat kabhi na ho
vo be-khudi ki jis mein shu'ur-e-khudi na ho

itna na door jaao had-e-ikhtilaaf se
mumkin hai phir wahan se kabhi waapsi na ho

dil mein khuloos ho to ho ik mustaqil khuloos
vo kya khuloos hai jo kabhi ho kabhi na ho

tark-e-taalluqaat ki ik shart ye bhi thi
dil toot jaaye aur koi awaaz bhi na ho

jee chahta hai phoolon se kuchh guftugoo karoon
phir sochta hoon baad-e-saba dekhti na ho

gauhar dil-o-nigaah mein ik fasl to rahe
lekin dil-o-nazar ka tasaadum kabhi na ho

यारब दिल-ओ-नज़र पे मुसल्लत कभी न हो
वो बे-ख़ुदी कि जिस में शुऊ'र-ए-ख़ुदी न हो

इतना न दूर जाओ हद-ए-इख़्तिलाफ़ से
मुमकिन है फिर वहाँ से कभी वापसी न हो

दिल में ख़ुलूस हो तो हो इक मुस्तक़िल ख़ुलूस
वो क्या ख़ुलूस है जो कभी हो कभी न हो

तर्क-ए-तअल्लुक़ात की इक शर्त ये भी थी
दिल टूट जाए और कोई आवाज़ भी न हो

जी चाहता है फूलों से कुछ गुफ़्तुगू करूँ
फिर सोचता हूँ बाद-ए-सबा देखती न हो

'गौहर' दिल-ओ-निगाह में इक फ़स्ल तो रहे
लेकिन दिल-ओ-नज़र का तसादुम कभी न हो

  - Gauhar Usmani

Protest Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Gauhar Usmani

As you were reading Shayari by Gauhar Usmani

Similar Writers

our suggestion based on Gauhar Usmani

Similar Moods

As you were reading Protest Shayari Shayari