rukh se fitrat ke hijaabaat utha deta hai
aaina toot ke patthar ko sada deta hai
azmat-e-ahl-e-wafa aur badha deta hai
gham-e-musalsal ho to phir gham bhi maza deta hai
dil dhadakta hai to paharon nahin sone deta
neend aati hai to ehsaas jaga deta hai
tum ne shaayad kabhi is baat ko socha hoga
waqt haathon ki lakeeren bhi mita deta hai
jo mere qatl ke darpay tha na jaane kab se
aaj vo bhi mujhe jeene ki dua deta hai
apne kirdaar pe maujon ko bhi sharm aati hai
jab koi doob ke saahil ka pata deta hai
gham ki taufeeq bhi sab ko nahin milti gauhar
ye vo ne'mat hai jo mushkil se khuda deta hai
रुख़ से फ़ितरत के हिजाबात उठा देता है
आइना टूट के पत्थर को सदा देता है
अज़्मत-ए-अहल-ए-वफ़ा और बढ़ा देता है
ग़म-ए-मुसलसल हो तो फिर ग़म भी मज़ा देता है
दिल धड़कता है तो पहरों नहीं सोने देता
नींद आती है तो एहसास जगा देता है
तुम ने शायद कभी इस बात को सोचा होगा
वक़्त हाथों की लकीरें भी मिटा देता है
जो मिरे क़त्ल के दरपय था न जाने कब से
आज वो भी मुझे जीने की दुआ देता है
अपने किरदार पे मौजों को भी शर्म आती है
जब कोई डूब के साहिल का पता देता है
ग़म की तौफ़ीक़ भी सब को नहीं मिलती 'गौहर'
ये वो ने'मत है जो मुश्किल से ख़ुदा देता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Gauhar Usmani
our suggestion based on Gauhar Usmani
As you were reading Aaina Shayari Shayari