dil mein rahna kabhi khwaabon ke nagar mein rahna
tum jahaan rahna mohabbat ke safar mein rahna
khair-maqdam ke liye aaunga main bhi ik din
tum abhi silsila-e-shaam-o-sehr mein rahna
waqt samton ke ta'yyun ko badal saka hai
tum mere saath mohabbat ke safar mein rahna
mo'jiza ye bhi hai is daur ke fankaaron ka
aag se khelna aur mom ke ghar mein rahna
fikr-e-shaai'r ke dareechon se guzar kar dekho
kitna dushwaar hai logon ki nazar mein rahna
ghark hone se bache kitne safeene gauhar
kaam aaya meri kashti ka bhanwar mein rahna
दिल में रहना कभी ख़्वाबों के नगर में रहना
तुम जहाँ रहना मोहब्बत के सफ़र में रहना
ख़ैर-मक़्दम के लिए आऊँगा मैं भी इक दिन
तुम अभी सिलसिला-ए-शाम-ओ-सहर में रहना
वक़्त सम्तों के तअ'य्युन को बदल सकता है
तुम मिरे साथ मोहब्बत के सफ़र में रहना
मो'जिज़ा ये भी है इस दौर के फ़नकारों का
आग से खेलना और मोम के घर में रहना
फ़िक्र-ए-शाइ'र के दरीचों से गुज़र कर देखो
कितना दुश्वार है लोगों की नज़र में रहना
ग़र्क़ होने से बचे कितने सफ़ीने 'गौहर'
काम आया मिरी कश्ती का भँवर में रहना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Gauhar Usmani
our suggestion based on Gauhar Usmani
As you were reading Duniya Shayari Shayari