haqeeqaton se kabhi inhiraf mat kijeye
qusoor jis ka ho us ko mua'af mat kijeye
kisi buzurg ke chehre pe kuchh nahin likkha
adab to kijie us ka tawaaf mat kijeye
khata ho aap ki to kijie ise tasleem
khata na ho to kabhi e'tiraaf mat kijeye
muaahida ho ta'alluq ho inkisaari ho
kabhi mizaaj ke apne khilaaf mat kijeye
vo ghar ka raaz ho ya doston ki baatein hon
kisi pe un ka kabhi inkishaaf mat kijeye
ghazal ishaaron kinaayon ka naam hai gauhar
ghazal mein baat koi saaf saaf mat kijeye
हक़ीक़तों से कभी इंहिराफ़ मत कीजे
क़ुसूर जिस का हो उस को मुआ'फ़ मत कीजे
किसी बुज़ुर्ग के चेहरे पे कुछ नहीं लिक्खा
अदब तो कीजिए उस का तवाफ़ मत कीजे
ख़ता हो आप की तो कीजिए इसे तस्लीम
ख़ता न हो तो कभी ए'तिराफ़ मत कीजे
मुआहिदा हो तअ'ल्लुक़ हो इंकिसारी हो
कभी मिज़ाज के अपने ख़िलाफ़ मत कीजे
वो घर का राज़ हो या दोस्तों की बातें हों
किसी पे उन का कभी इंकिशाफ़ मत कीजे
ग़ज़ल इशारों किनायों का नाम है 'गौहर'
ग़ज़ल में बात कोई साफ़ साफ़ मत कीजे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Gauhar Usmani
our suggestion based on Gauhar Usmani
As you were reading Haya Shayari Shayari