vo chashm-e-naaz agar khud ko waqf-e-naaz kare | वो चश्म-ए-नाज़ अगर ख़ुद को वक़्फ़-ए-नाज़ करे

  - Ghubar Kiratpuri

vo chashm-e-naaz agar khud ko waqf-e-naaz kare
har ahl-e-qalb-o-nazar kham sar-e-niyaaz kare

gada ko shah to shah ko gada-nawaaz kare
jise bhi jis tarah chahe vo sarfaraz kare

haqeeqat-e-bashri kya hai qatra-e-naacheez
zabaan na had se ziyaada bashar daraaz kare

tira ghulaam b-sad-ehtiraam haazir hai
tiri khushi hai agar is ko sarfaraz kare

khuda hai qadir-e-mutlaq bashar ko laazim hai
usi ke saamne dast-e-talab daraaz kare

jo baar-e-husn-e-azl koh-e-toor sah na sake
qubool us ko mera qalb-e-paak-baaz kare

kisi ke dam ki jo raunaq hai us ki hasti mein
ghubaar kyun na bhala aaj us pe naaz kare

वो चश्म-ए-नाज़ अगर ख़ुद को वक़्फ़-ए-नाज़ करे
हर अहल-ए-क़ल्ब-ओ-नज़र ख़म सर-ए-नियाज़ करे

गदा को शाह तो शह को गदा-नवाज़ करे
जिसे भी जिस तरह चाहे वो सरफ़राज़ करे

हक़ीक़त-ए-बशरी क्या है क़तरा-ए-नाचीज़
ज़बाँ न हद से ज़ियादा बशर दराज़ करे

तिरा ग़ुलाम ब-सद-एहतिराम हाज़िर है
तिरी ख़ुशी है अगर इस को सरफ़राज़ करे

ख़ुदा है क़ादिर-ए-मुतलक़ बशर को लाज़िम है
उसी के सामने दस्त-ए-तलब दराज़ करे

जो बार-ए-हुस्न-ए-अज़ल कोह-ए-तूर सह न सके
क़ुबूल उस को मिरा क़ल्ब-ए-पाक-बाज़ करे

किसी के दम की जो रौनक़ है उस की हस्ती में
'ग़ुबार' क्यों न भला आज उस पे नाज़ करे

  - Ghubar Kiratpuri

Adaa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghubar Kiratpuri

As you were reading Shayari by Ghubar Kiratpuri

Similar Writers

our suggestion based on Ghubar Kiratpuri

Similar Moods

As you were reading Adaa Shayari Shayari