vo insaan jo shikaar-e-gardish-e-ayyaam hota hai | वो इंसाँ जो शिकार-ए-गर्दिश-ए-अय्याम होता है

  - Ghubar Kiratpuri

vo insaan jo shikaar-e-gardish-e-ayyaam hota hai
bhala karta hai duniya ka magar badnaam hota hai

jo dekho ghaur se har she'r ik ilhaam hota hai
sabhi ashaar se zaahir koi paighaam hota hai

dahal jaate hain dil kaliyon ke gulshan thartharaata hai
chaman mein jab koi taair aseer-e-daam hota hai

khird haa'il hua karti hai jab bhi raah-e-ulfat mein
junoon-e-ishq-e-saadik muft mein badnaam hota hai

jab aa jaata hai ghalib zor-e-baatil haq-paraston par
nizaam-e-jabr se har-soo bapaa kohraam hota hai

ye duniya hai ajab is mein bhala kya kya nahin hota
yahan maasoom insaan morid-e-ilzaam hota hai

hai may-khaana ghubaar is mein kisi ko haq nahin milta
zabardasti utha le jo usi ka jaam hota hai

वो इंसाँ जो शिकार-ए-गर्दिश-ए-अय्याम होता है
भला करता है दुनिया का मगर बदनाम होता है

जो देखो ग़ौर से हर शे'र इक इल्हाम होता है
सभी अशआ'र से ज़ाहिर कोई पैग़ाम होता है

दहल जाते हैं दिल कलियों के गुलशन थरथराता है
चमन में जब कोई ताइर असीर-ए-दाम होता है

ख़िरद हाइल हुआ करती है जब भी राह-ए-उल्फ़त में
जुनून-ए-इश्क़-ए-सादिक़ मुफ़्त में बदनाम होता है

जब आ जाता है ग़ालिब ज़ोर-ए-बातिल हक़-परस्तों पर
निज़ाम-ए-जब्र से हर-सू बपा कोहराम होता है

ये दुनिया है अजब इस में भला क्या क्या नहीं होता
यहाँ मासूम इंसाँ मोरिद-ए-इल्ज़ाम होता है

है मय-ख़ाना 'ग़ुबार' इस में किसी को हक़ नहीं मिलता
ज़बरदस्ती उठा ले जो उसी का जाम होता है

  - Ghubar Kiratpuri

Gulshan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghubar Kiratpuri

As you were reading Shayari by Ghubar Kiratpuri

Similar Writers

our suggestion based on Ghubar Kiratpuri

Similar Moods

As you were reading Gulshan Shayari Shayari