koi dekhe to sahi ye sitam-aaraai bhi | कोई देखे तो सही ये सितम-आराई भी

  - Ghubar Kiratpuri

koi dekhe to sahi ye sitam-aaraai bhi
khud tamasha bhi hoon main aur tamaashaai bhi

raaz hai un ka ajab un ki ye yaktaai bhi
main tamannaa bhi hoon aur un ka tamannaai bhi

haath failaaun tire hote main kis ke aage
is mein meri hi nahin hai tiri ruswaai bhi

aql waalon ki nigaahon pe pade hain parde
parda-e-ishq mein doori bhi hai yakjaai bhi

haal ham ahl-e-khirad ka hai zamaane mein ajab
ham shanaasa bhi hain mahroom-e-shanaasaai bhi

vo to har haal mein maujood hai shah-rag ke qareeb
is ko kahte hain kahi aalam-e-tanhaai bhi

koi samjhe bhi to kya us ko samajh paaye ghubaar
parda-daari bhi hai aur anjuman-aaraai bhi

कोई देखे तो सही ये सितम-आराई भी
ख़ुद तमाशा भी हूँ मैं और तमाशाई भी

राज़ है उन का अजब उन की ये यकताई भी
मैं तमन्ना भी हूँ और उन का तमन्नाई भी

हाथ फैलाऊँ तिरे होते मैं किस के आगे
इस में मेरी ही नहीं है तिरी रुस्वाई भी

अक़्ल वालों की निगाहों पे पड़े हैं पर्दे
पर्दा-ए-इश्क़ में दूरी भी है यकजाई भी

हाल हम अहल-ए-ख़िरद का है ज़माने में अजब
हम शनासा भी हैं महरूम-ए-शनासाई भी

वो तो हर हाल में मौजूद है शह-रग के क़रीब
इस को कहते हैं कहीं आलम-ए-तन्हाई भी

कोई समझे भी तो क्या उस को समझ पाए 'ग़ुबार'
पर्दा-दारी भी है और अंजुमन-आराई भी

  - Ghubar Kiratpuri

Judai Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghubar Kiratpuri

As you were reading Shayari by Ghubar Kiratpuri

Similar Writers

our suggestion based on Ghubar Kiratpuri

Similar Moods

As you were reading Judai Shayari Shayari