har samt ye ham shor-o-sharar dekh rahe hain
mazloom ki aahon ka asar dekh rahe hain
mitte hue aslaaf ki azmat ke nishaanaat
dekhe nahin jaate hain magar dekh rahe hain
kal tak jo ukh'uvvat ke liye firte the parcham
badli hui aaj un ki nazar dekh rahe hain
arbaab-e-hukoomat mein hai jahal aur taghaaful
taaraaj hua jaata hai ghar dekh rahe hain
jamhoori hukoomat jise samjhe the pari ham
ifreet ki soorat hai jidhar dekh rahe hain
kya baagh dikhaaye gaye aazaadi se pehle
kis darja mile talkh samar dekh rahe hain
sab ahl-e-wafa ho gaye kangal ghubaar aaj
na-ahlon ke ghar laal-o-guhar dekh rahe hain
हर सम्त ये हम शोर-ओ-शरर देख रहे हैं
मज़लूम की आहों का असर देख रहे हैं
मिटते हुए अस्लाफ़ की अज़्मत के निशानात
देखे नहीं जाते हैं मगर देख रहे हैं
कल तक जो उख़ुव्वत के लिए फिरते थे परचम
बदली हुई आज उन की नज़र देख रहे हैं
अर्बाब-ए-हुकूमत में है जहल और तग़ाफ़ुल
ताराज हुआ जाता है घर देख रहे हैं
जम्हूरी हुकूमत जिसे समझे थे परी हम
इफ़रीत की सूरत है जिधर देख रहे हैं
क्या बाग़ दिखाए गए आज़ादी से पहले
किस दर्जा मिले तल्ख़ समर देख रहे हैं
सब अहल-ए-वफ़ा हो गए कंगाल 'ग़ुबार' आज
ना-अहलों के घर लाल-ओ-गुहर देख रहे हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ghubar Kiratpuri
our suggestion based on Ghubar Kiratpuri
As you were reading Chehra Shayari Shayari