saare gulshan mein mera koi bhi dam-saaz nahin
chalte firte hain ye saaye magar awaaz nahin
ye haqeeqat hai khuli is mein koi raaz nahin
tu wahi hai magar aslaaf ke andaaz nahin
be-niyaaz aaj bhi chashm-e-karam-andaaz nahin
gham na kar tu dar-e-may-khaana agar baaz nahin
saaz har daur mein bante hain taqaazon ke tahat
saaz-e-hasti ho naya phir bhi naya saaz nahin
is haqeeqat ko samjhte hain samajhne waale
raaz-e-fitrat hai ye insaan magar raaz nahin
hai vo is darja mukarram ki nahin jis ka hisaab
khaalik-e-kaun-o-makaan hai but-e-tannaaz nahin
sar-bulandi hamein mil sakti hai lekin ai ghubaar
aaj millat ke jawaanon mein tag-o-taaz nahin
सारे गुलशन में मिरा कोई भी दम-साज़ नहीं
चलते फिरते हैं ये साए मगर आवाज़ नहीं
ये हक़ीक़त है खुली इस में कोई राज़ नहीं
तू वही है मगर अस्लाफ़ के अंदाज़ नहीं
बे-नियाज़ आज भी चश्म-ए-करम-अंदाज़ नहीं
ग़म न कर तू दर-ए-मय-ख़ाना अगर बाज़ नहीं
साज़ हर दौर में बनते हैं तक़ाज़ों के तहत
साज़-ए-हस्ती हो नया फिर भी नया साज़ नहीं
इस हक़ीक़त को समझते हैं समझने वाले
राज़-ए-फ़ितरत है ये इंसान मगर राज़ नहीं
है वो इस दर्जा मुकर्रम कि नहीं जिस का हिसाब
ख़ालिक़-ए-कौन-ओ-मकाँ है बुत-ए-तन्नाज़ नहीं
सर-बुलंदी हमें मिल सकती है लेकिन ऐ 'ग़ुबार'
आज मिल्लत के जवानों में तग-ओ-ताज़ नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ghubar Kiratpuri
our suggestion based on Ghubar Kiratpuri
As you were reading Udasi Shayari Shayari