sukoon-e-qalb ho tum rooh ka qaraar ho tum
meri hayaat-e-mohabbat ke raazdaar ho tum
nigaah-e-naaz se loote hain mere qalb-o-jigar
aseer-e-zulf kiya us ke zimmedaar ho tum
mere zameer ne samjha meri nazar ne kaha
meri talab ke liye husn-e-intizaar ho tum
sukoon-e-qalb mila hai hamaari mehfil mein
meri nigaah ka markaz ho mere yaar ho tum
juda juda hain nigaahen juda juda hai khayal
meri nigaah mein bas shaan-e-kirdagaar ho tum
mere chaman ki tabaahi kisi ko kya maaloom
khizaan-raseeda chaman ki mere bahaar ho tum
jahaan mein apne paraaye sabhi mukhalif hain
ghubaar gham mein magar mere gham-gusaar ho tum
सुकून-ए-क़ल्ब हो तुम रूह का क़रार हो तुम
मिरी हयात-ए-मोहब्बत के राज़दार हो तुम
निगाह-ए-नाज़ से लूटे हैं मेरे क़ल्ब-ओ-जिगर
असीर-ए-ज़ुल्फ़ किया उस के ज़िम्मेदार हो तुम
मिरे ज़मीर ने समझा मिरी नज़र ने कहा
मिरी तलब के लिए हुस्न-ए-इंतिज़ार हो तुम
सुकून-ए-क़ल्ब मिला है हमारी महफ़िल में
मिरी निगाह का मरकज़ हो मेरे यार हो तुम
जुदा जुदा हैं निगाहें जुदा जुदा है ख़याल
मिरी निगाह में बस शान-ए-किर्दगार हो तुम
मिरे चमन की तबाही किसी को क्या मालूम
ख़िज़ाँ-रसीदा चमन की मिरे बहार हो तुम
जहाँ में अपने पराए सभी मुख़ालिफ़ हैं
'ग़ुबार' ग़म में मगर मेरे ग़म-गुसार हो तुम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ghubar Kiratpuri
our suggestion based on Ghubar Kiratpuri
As you were reading Chehra Shayari Shayari