kisi ke naqsh-e-paa par rakh diya hai jab se sar apna | किसी के नक़्श-ए-पा पर रख दिया है जब से सर अपना

  - Ghubar Kiratpuri

kisi ke naqsh-e-paa par rakh diya hai jab se sar apna
na dil apna na jaan apni na ghar apna na dar apna

na koi kaarwaan apna na meer-e-kaarwaan koi
khayaal-e-yaar rehta hai hamesha raahbar apna

kahaan baaki hai ab aql-o-khird se vaasta ai dil
mera zauq-e-nazar khud ban gaya hai raahbar apna

naseehat karne waalon ka bhala ho kya vo samjhenge
na qaabu ishq par hai aur na hai dil par asar apna

khuda jab nakhuda khud ban gaya hai meri kashti ka
safeena manzilen tay kar raha hai be-khatr apna

muqaddar se kabhi hota nahin mayus main hamdam
mujhe kis baat ka gham ho qavi hai chaaragar apna

ghubaar apni haqeeqat kuchh nahin hai bazm-e-hasti mein
hoon khush-qismat habeeb-e-rab hua hai chaaragar apna

किसी के नक़्श-ए-पा पर रख दिया है जब से सर अपना
न दिल अपना न जाँ अपनी न घर अपना न दर अपना

न कोई कारवाँ अपना न मीर-ए-कारवाँ कोई
ख़याल-ए-यार रहता है हमेशा राहबर अपना

कहाँ बाक़ी है अब अक़्ल-ओ-ख़िरद से वास्ता ऐ दिल
मिरा ज़ौक़-ए-नज़र ख़ुद बन गया है राहबर अपना

नसीहत करने वालों का भला हो क्या वो समझेंगे
न क़ाबू इश्क़ पर है और न है दिल पर असर अपना

ख़ुदा जब नाख़ुदा ख़ुद बन गया है मेरी कश्ती का
सफ़ीना मंज़िलें तय कर रहा है बे-ख़तर अपना

मुक़द्दर से कभी होता नहीं मायूस मैं हमदम
मुझे किस बात का ग़म हो क़वी है चारागर अपना

'ग़ुबार' अपनी हक़ीक़त कुछ नहीं है बज़्म-ए-हस्ती में
हूँ ख़ुश-क़िस्मत हबीब-ए-रब हुआ है चारागर अपना

  - Ghubar Kiratpuri

Shama Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghubar Kiratpuri

As you were reading Shayari by Ghubar Kiratpuri

Similar Writers

our suggestion based on Ghubar Kiratpuri

Similar Moods

As you were reading Shama Shayari Shayari