gham-e-aashiqi se badh kar gham-e-zindagi nahin hai
main tire karam ke qurbaan mujhe kuchh kami nahin hai
mere jaan-o-dil ke maalik mujhe be-niyaaz-e-gham kar
kisi aur dar pe hargiz ye jabeen jhuki nahin hai
mere shehr-e-jaan-o-dil mein vo ziya bikherate hain
mera qalb hai mujallaa yahan teergi nahin hai
ai ameer-e-shehr-e-shaadaan mujhe apne paas rakhna
tire dar se door rah kar koi zindagi nahin hai
wahi chaara-e-wafa hai jahaan dil ho kaar-farma
jahaan aql hukmraan ho rah-e-aashiqi nahin hai
ye hai raaz-e-ishq-o-ulfat na samajh sakega waiz
jahaan teergi nahin hai wahan raushni nahin hai
sooni dukh-bhari kahaani mujhe baaryaab kar ke
mere dil mein ab tamannaa koi doosri nahin hai
ग़म-ए-आशिक़ी से बढ़ कर ग़म-ए-ज़िंदगी नहीं है
मैं तिरे करम के क़ुर्बां मुझे कुछ कमी नहीं है
मिरे जान-ओ-दिल के मालिक मुझे बे-नियाज़-ए-ग़म कर
किसी और दर पे हरगिज़ ये जबीं झुकी नहीं है
मिरे शहर-ए-जान-ओ-दिल में वो ज़िया बिखेरते हैं
मिरा क़ल्ब है मुजल्ला यहाँ तीरगी नहीं है
ऐ अमीर-ए-शहर-ए-शादाँ मुझे अपने पास रखना
तिरे दर से दूर रह कर कोई ज़िंदगी नहीं है
वही चारा-ए-वफ़ा है जहाँ दिल हो कार-फ़रमा
जहाँ अक़्ल हुक्मराँ हो रह-ए-आशिक़ी नहीं है
ये है राज़-ए-इश्क़-ओ-उल्फ़त न समझ सकेगा वाइज़
जहाँ तीरगी नहीं है वहाँ रौशनी नहीं है
सुनी दुख-भरी कहानी मुझे बारयाब कर के
मिरे दिल में अब तमन्ना कोई दूसरी नहीं है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ghubar Kiratpuri
our suggestion based on Ghubar Kiratpuri
As you were reading Dil Shayari Shayari