raahat ka zamaane mein samaan nahin milta
insaan ki basti mein insaan nahin milta
kuchh aisi hawa badli afsos zamaane ki
ehsaan ke badle mein ehsaan nahin milta
is kaar-gah-e-hasti ka itna fasana hai
ho nafs jahaan baaki irfaan nahin milta
aaeen bahut achha da'we bhi haseen lekin
ulfat ka hamein phir bhi farmaan nahin milta
shaddaad ki jannat hain jamhoor ke sab wa'de
ab dard ka apne kuchh darmaan nahin milta
kya badh ke nahin choome hain daar-o-rasan ham ne
phir bhi hamein izzat ka iqaan nahin milta
go nisf sadi beeti azaadi-e-kaamil ko
raahat ka ghubaar ab tak samaan nahin milta
राहत का ज़माने में सामान नहीं मिलता
इंसान की बस्ती में इंसान नहीं मिलता
कुछ ऐसी हवा बदली अफ़्सोस ज़माने की
एहसान के बदले में एहसान नहीं मिलता
इस कार-गह-ए-हस्ती का इतना फ़साना है
हो नफ़्स जहाँ बाक़ी इरफ़ान नहीं मिलता
आईन बहुत अच्छा दा'वे भी हसीं लेकिन
उल्फ़त का हमें फिर भी फ़रमान नहीं मिलता
शद्दाद की जन्नत हैं जम्हूर के सब वा'दे
अब दर्द का अपने कुछ दरमाँ नहीं मिलता
क्या बढ़ के नहीं चूमे हैं दार-ओ-रसन हम ने
फिर भी हमें इज़्ज़त का ईक़ान नहीं मिलता
गो निस्फ़ सदी बीती आज़ादी-ए-कामिल को
राहत का 'ग़ुबार' अब तक सामान नहीं मिलता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ghubar Kiratpuri
our suggestion based on Ghubar Kiratpuri
As you were reading Nature Shayari Shayari